kya ab kisi ki aarzoo ya justuju karein
ab khud se hi sawaal karein guftugoo karein
koi to kaam aisa karein zindagi mein ham
kuchh apne waaldain ko bhi surkh-roo karein
daalen nazar ham apne bhi aibon pe doston
jab aaine ko apne kabhi roo-b-roo karein
qudrat ke kaarnaamon mein hai kitni dilkashi
lagta hai baarishon mein ki patte wuzoo karein
ab khatm kar de zindagi saanson ka silsila
ham apni khwahishon ka kahaan tak lahu karein
क्या अब किसी की आरज़ू या जुस्तुजू करें
अब ख़ुद से ही सवाल करें गुफ़्तुगू करें
कोई तो काम ऐसा करें ज़िंदगी में हम
कुछ अपने वालदैन को भी सुर्ख़-रू करें
डालें नज़र हम अपने भी ऐबों पे दोस्तों
जब आइने को अपने कभी रू-ब-रू करें
क़ुदरत के कारनामों में है कितनी दिलकशी
लगता है बारिशों में कि पत्ते वुज़ू करें
अब ख़त्म कर दे ज़िंदगी साँसों का सिलसिला
हम अपनी ख़्वाहिशों का कहाँ तक लहू करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Seema
our suggestion based on Gauhar Seema
As you were reading Nazar Shayari Shayari