zamaane bhar ko nayi taab-o-tab dikha na sake | ज़माने भर को नई ताब-ओ-तब दिखा न सके

  - Gauhar Shaikh Purwi

zamaane bhar ko nayi taab-o-tab dikha na sake
vo shakhs kya jo ghamon mein bhi muskuraa na sake

ham apne shehar mein rahte hain ajnabi ki tarah
magar ye baat kisi ko bhi ham bata na sake

guzarte waqt ki maanind hai aaj ka insaan
sadaaein de ke use ham kabhi bula na sake

zaroor ranjish-e-beja hai aap ko ham se
mile gale se magar dil kabhi mila na sake

tumhaare wa'de haseen bhi the dil-fareb bhi the
hamaare ghar se ghareebi magar hata na sake

jo bakhshte rahe duniya ko noor ki daulat
vo apne ghar mein koi sham'a tak jala na sake

rahe hain gauhar'-e-naayaab ki tarah lekin
ham apne aap ko shokes mein saja na sake

ज़माने भर को नई ताब-ओ-तब दिखा न सके
वो शख़्स क्या जो ग़मों में भी मुस्कुरा न सके

हम अपने शहर में रहते हैं अजनबी की तरह
मगर ये बात किसी को भी हम बता न सके

गुज़रते वक़्त की मानिंद है आज का इंसाँ
सदाएँ दे के उसे हम कभी बुला न सके

ज़रूर रंजिश-ए-बेजा है आप को हम से
मिले गले से मगर दिल कभी मिला न सके

तुम्हारे वा'दे हसीं भी थे दिल-फ़रेब भी थे
हमारे घर से ग़रीबी मगर हटा न सके

जो बख़्शते रहे दुनिया को नूर की दौलत
वो अपने घर में कोई शम्अ तक जला न सके

रहे हैं 'गौहर'-ए-नायाब की तरह लेकिन
हम अपने आप को शोकेस में सजा न सके

  - Gauhar Shaikh Purwi

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Shaikh Purwi

As you were reading Shayari by Gauhar Shaikh Purwi

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Shaikh Purwi

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari