ik pal bhi kahi raahat-o-aaraam nahin hai | इक पल भी कहीं राहत-ओ-आराम नहीं है

  - Gauhar Shaikh Purwi

ik pal bhi kahi raahat-o-aaraam nahin hai
ye ishq ka aaghaaz hai anjaam nahin hai

darta hoon ki gardish na zamaane ki thehar jaaye
ab haath mein suraj hai mere jaam nahin hai

kya loot liya rindon ne may-khaana hi saara
ya meri hi qismat mein koi jaam nahin hai

jis paap ki duniya mein hai raavan ka basera
us swarg si dharti pe koi raam nahin hai

main ne hi nikhaara hai tira rang-e-mohabbat
aur mera tiri bazm mein kuchh kaam nahin hai

tum ne hi sitam dhaaye hain tum ne hi jafaa ki
main kaise kahoon tum pe kuchh ilzaam nahin hai

sab kuchh hai jab apna hi to main soch raha hoon
insaan ko kyun pehla sa aaraam nahin hai

mere hi gunaahon pe nazar kyun hai jahaan ki
hai kaun jo is daur mein badnaam nahin hai

hairat hai ki tu us ko nahin jaanta lekin
is shehar mein gauhar koi gum-naam nahin hai

इक पल भी कहीं राहत-ओ-आराम नहीं है
ये इश्क़ का आग़ाज़ है अंजाम नहीं है

डरता हूँ कि गर्दिश न ज़माने की ठहर जाए
अब हाथ में सूरज है मिरे जाम नहीं है

क्या लूट लिया रिंदों ने मय-ख़ाना ही सारा
या मेरी ही क़िस्मत में कोई जाम नहीं है

जिस पाप की दुनिया में है रावन का बसेरा
उस स्वर्ग सी धरती पे कोई राम नहीं है

मैं ने ही निखारा है तिरा रंग-ए-मोहब्बत
और मेरा तिरी बज़्म में कुछ काम नहीं है

तुम ने ही सितम ढाए हैं तुम ने ही जफ़ा की
मैं कैसे कहूँ तुम पे कुछ इल्ज़ाम नहीं है

सब कुछ है जब अपना ही तो मैं सोच रहा हूँ
इंसान को क्यों पहला सा आराम नहीं है

मेरे ही गुनाहों पे नज़र क्यों है जहाँ की
है कौन जो इस दौर में बदनाम नहीं है

हैरत है कि तू उस को नहीं जानता लेकिन
इस शहर में 'गौहर' कोई गुम-नाम नहीं है

  - Gauhar Shaikh Purwi

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Shaikh Purwi

As you were reading Shayari by Gauhar Shaikh Purwi

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Shaikh Purwi

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari