ham jo saare jahaan waale hain | हम जो सारे जहान वाले हैं

  - Gauhar Shaikh Purwi

ham jo saare jahaan waale hain
gum-shuda daastaan waale hain

kyun na barsaat mein hon khaufzada
vo jo kacche makaan waale hain

ham ghareebon se kyun nahin milte
kya vo unchi udaan waale hain

tooti qabron se aa rahi hai sada
be-nishaan bhi nishaan waale hain

ham ko shokes mein saja lenge
jab vo unchi dookaan waale hain

raah mein vo bhatk nahin sakte
jo badi aan baan waale hain

maut se bhi kahi nahin darte
ham badi sakht jaan waale hain

band kamre mein rah nahin sakte
ham khule saayebaan waale hain

unche mahlon pe naaz kyun hai tumhein
ham bhi to aasmaan waale hain

soch kar koi guftugoo kijie
dar-o-deewar kaan waale hain

pyaar sheva hamaara hai gauhar
ham bhi hindostaan waale hain

हम जो सारे जहान वाले हैं
गुम-शुदा दास्तान वाले हैं

क्यों न बरसात में हों खौफ़ज़दा
वो जो कच्चे मकान वाले हैं

हम ग़रीबों से क्यों नहीं मिलते
क्या वो ऊँची उड़ान वाले हैं

टूटी क़ब्रों से आ रही है सदा
बे-निशाँ भी निशान वाले हैं

हम को शोकेस में सजा लेंगे
जब वो ऊँची दूकान वाले हैं

राह में वो भटक नहीं सकते
जो बड़ी आन बान वाले हैं

मौत से भी कहीं नहीं डरते
हम बड़ी सख़्त जान वाले हैं

बंद कमरे में रह नहीं सकते
हम खुले साएबान वाले हैं

ऊँचे महलों पे नाज़ क्यों है तुम्हें
हम भी तो आसमान वाले हैं

सोच कर कोई गुफ़्तुगू कीजिए
दर-ओ-दीवार कान वाले हैं

प्यार शेवा हमारा है 'गौहर'
हम भी हिन्दोस्तान वाले हैं

  - Gauhar Shaikh Purwi

Khudkushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Shaikh Purwi

As you were reading Shayari by Gauhar Shaikh Purwi

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Shaikh Purwi

Similar Moods

As you were reading Khudkushi Shayari Shayari