jo kuchh mujh se kamaaya ja raha hai
mahaj ghar ka kirayaa ja raha hai
subooton ko mitaaya ja raha hai
yun sach ka qad ghataaya ja raha hai
vo patthar se ziyaada kuchh nahin hai
to phir sar kyun jhukaaya ja raha hai
nahin niyyat madad ki haath phir bhi
badhaane ko badhaaya ja raha hai
haqeeqat ham se hai munh fer baithi
so khwaabon ko jagaaya ja raha hai
alag main bheed se chalne lagi hoon
mujhe paagal bataaya ja raha hai
जो कुछ मुझ से कमाया जा रहा है
महज़ घर का किराया जा रहा है
सुबूतों को मिटाया जा रहा है
यूँ सच का क़द घटाया जा रहा है
वो पत्थर से ज़ियादा कुछ नहीं है
तो फिर सर क्यों झुकाया जा रहा है
नहीं निय्यत मदद की हाथ फिर भी
बढ़ाने को बढ़ाया जा रहा है
हक़ीक़त हम से है मुँह फेर बैठी
सो ख़्वाबों को जगाया जा रहा है
अलग मैं भीड़ से चलने लगी हूँ
मुझे पागल बताया जा रहा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gayatri Mehta
our suggestion based on Gayatri Mehta
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari