tu ne koshish to ki zamaane par
lau bujhi hi nahin bujhaane par
mere haathon ka dekhne jaadu
ghar pe aao kabhi to khaane par
laash khwaabon ki dafn kar aaye
dard ab ja laga thikaane par
koi seekhe nahin sikhaane se
aql aati hai chot khaane par
naam us ke kiye hain din bhi to
kyun tamasha hai shab bitaane par
तू ने कोशिश तो की ज़माने पर
लौ बुझी ही नहीं बुझाने पर
मेरे हाथों का देखने जादू
घर पे आओ कभी तो खाने पर
लाश ख़्वाबों की दफ़्न कर आए
दर्द अब जा लगा ठिकाने पर
कोई सीखे नहीं सिखाने से
अक़्ल आती है चोट खाने पर
नाम उस के किए हैं दिन भी तो
क्यों तमाशा है शब बिताने पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gayatri Mehta
our suggestion based on Gayatri Mehta
As you were reading Ghar Shayari Shayari