badalte pal mein ham mehram nahin hain
tere jaise to kam se kam nahin hain
manana bhi tumhein jee jaan se hai
khafa karne mein bhi ham kam nahin hai
gunaahon ko tire de den muafi
khuda hai vo ki dekho ham nahin hain
luta kar tere hisse ki mohabbat
meri aankhen zara bhi nam nahin hain
mujhe seene se apne tum laga lo
juda hone ke ye mausam nahin hain
बदलते पल में हम महरम नहीं हैं
तेरे जैसे तो कम से कम नहीं हैं
मनाना भी तुम्हें जी जान से है
ख़फ़ा करने में भी हम कम नहीं है
गुनाहों को तिरे दे दें मुआ'फ़ी
ख़ुदा है वो कि देखो हम नहीं हैं
लुटा कर तेरे हिस्से की मोहब्बत
मेरी आँखें ज़रा भी नम नहीं हैं
मुझे सीने से अपने तुम लगा लो
जुदा होने के ये मौसम नहीं हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gayatri Mehta
our suggestion based on Gayatri Mehta
As you were reading Narazgi Shayari Shayari