us ki soorat ka tasavvur dil mein jab laate hain ham
khud-b-khud apne se hamdam aap ghabraate hain ham
hosh gar rehta ho tujh ko ham se poshida na rakh
jab vo yaa aata hai ai dil tab kahaan jaate hain ham
baithe baithe kyun yakaayak haaye dil khoya gaya
hamdam is ka kuchh sabab dhunde nahin paate hain ham
khud-b-khud kal shab ko vo bole utha munh se naqaab
jo na dekha ho kisi ne mujh ko dikhlaate hain ham
be-sabab ho kar khafa jab kuchh sunaata hai vo shokh
jee hi jee mein apne upar haaye jhunjhalaate hain ham
shaam ko saaqi kabhi aata hai gar tera khayal
subh tak bhi hosh mein apne nahin aate hain ham
ham ne gham kya khaak khaaya gham ne ham ko kha liya
log ai hamdam samjhte hain ki gham khaate hain ham
jaam le kar mujh se vo kehta hai apne munh ko fer
roo-b-roo yun tere may peene se sharmate hain ham
jo kalaam-e-ishq ye hargiz samajhta hi nahin
dil ko sau sau tarah gamgeen haaye samjhaate hain ham
उस की सूरत का तसव्वुर दिल में जब लाते हैं हम
ख़ुद-ब-ख़ुद अपने से हमदम आप घबराते हैं हम
होश गर रहता हो तुझ को हम से पोशीदा न रख
जब वो याँ आता है ऐ दिल तब कहाँ जाते हैं हम
बैठे बैठे क्यूँ यकायक हाए दिल खोया गया
हमदम इस का कुछ सबब ढूँडे नहीं पाते हैं हम
ख़ुद-ब-ख़ुद कल शब को वो बोले उठा मुँह से नक़ाब
जो न देखा हो किसी ने मुझ को, दिखलाते हैं हम
बे-सबब हो कर ख़फ़ा जब कुछ सुनाता है वो शोख़
जी ही जी में अपने उपर हाए झुँझलाते हैं हम
शाम को साक़ी कभी आता है गर तेरा ख़याल
सुब्ह तक भी होश में अपने नहीं आते हैं हम
हम ने ग़म क्या ख़ाक खाया ग़म ने हम को खा लिया
लोग ऐ हमदम समझते हैं कि ग़म खाते हैं हम
जाम ले कर मुझ से वो कहता है अपने मुँह को फेर
रू-ब-रू यूँ तेरे मय पीने से शरमाते हैं हम
जो कलाम-ए-इश्क़ ये हरगिज़ समझता ही नहीं
दिल को सौ सौ तरह 'ग़मगीं' हाए समझाते हैं हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghamgeen Dehlvi
our suggestion based on Ghamgeen Dehlvi
As you were reading I Miss you Shayari Shayari