mujh se aazurda jo us gul-roo ko ab paate hain log
aur hi rangat se kuchh kuchh aa ke farmaate hain log
jab se jaana band mera ho gaya ai hamdamo
tab se un ke ghar mein har har tarah ke aate hain log
mere aah-e-sard ki taaseer us ke dil mein dekh
haaye kis kis tarah mujh par us ko garmate hain log
jab vo ghabraate the mujh se tab the un ke ghar ke khush
ab jo vo khush hain to un ke ghar ke ghabraate hain log
koi samjhaao unhen bahr-e-khuda ai momino
us sanam ke ishq mein jo mujh ko samjhaate hain log
roz-e-hijraan to dikhaaya sau farebon se mujhe
dekhiye ab aur kya kya haaye dikhlaate hain log
jo lagaate the bujhaate the hamesha un se aah
vo hi ab naachaar gamgeen mujh se sharmate hain log
मुझ से आज़ुर्दा जो उस गुल-रू को अब पाते हैं लोग
और ही रंगत से कुछ कुछ आ के फ़रमाते हैं लोग
जब से जाना बंद मेरा हो गया ऐ हमदमो
तब से उन के घर में हर हर तरह के आते हैं लोग
मेरे आह-ए-सर्द की तासीर उस के दिल में देख
हाए किस किस तरह मुझ पर उस को गर्माते हैं लोग
जब वो घबराते थे मुझ से तब थे उन के घर के ख़ुश
अब जो वो ख़ुश हैं तो उन के घर के घबराते हैं लोग
कोई समझाओ उन्हें बहर-ए-ख़ुदा ऐ मोमिनो
उस सनम के इश्क़ में जो मुझ को समझाते हैं लोग
रोज़-ए-हिज्राँ तो दिखाया सौ फ़रेबों से मुझे
देखिए अब और क्या क्या हाए दिखलाते हैं लोग
जो लगाते थे बुझाते थे हमेशा उन से आह
वो ही अब नाचार 'ग़मगीं' मुझ से शरमाते हैं लोग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghamgeen Dehlvi
our suggestion based on Ghamgeen Dehlvi
As you were reading Ishq Shayari Shayari