us shola-roo se jab se meri aankh ja lagi
kya jaane tab se seene mein kya aag aa lagi
ka'be mein vo zuhoor hai jo but-kade mein hai
ai shaikh munsifi se tu kahiyo khuda-lagi
pa tak bhi dastaras na ho mujh ko ye rashk hai
aur tere haath mein rahe qaateel hina lagi
dushnaam tum ne mujh ko jo di to main khush hua
aur main ne di dua to tujhe bad-dua lagi
vo ghuncha-lab jo khanda-zanaan hai chaman mein aaj
shaayad gulon ke khilne ki us ko hawa lagi
khwaabida bakht ne wahin bedaar kar diya
tere khayal mein jo ye aankh ik zara lagi
gamgeen jo ek aan pe tere ada hua
kya khush ada use tiri ai khush-ada lagi
उस शो'ला-रू से जब से मिरी आँख जा लगी
क्या जाने तब से सीने में क्या आग आ लगी
का'बे में वो ज़ुहूर है जो बुत-कदे में है
ऐ शैख़ मुंसिफ़ी से तू कहियो ख़ुदा-लगी
पा तक भी दस्तरस न हो मुझ को ये रश्क है
और तेरे हाथ में रहे क़ातिल हिना लगी
दुश्नाम तुम ने मुझ को जो दी तो मैं ख़ुश हुआ
और मैं ने दी दुआ तो तुझे बद-दुआ लगी
वो ग़ुंचा-लब जो ख़ंदा-ज़नाँ है चमन में आज
शायद गुलों के खिलने की उस को हवा लगी
ख़्वाबीदा बख़्त ने वहीं बेदार कर दिया
तेरे ख़याल में जो ये आँख इक ज़रा लगी
'ग़मगीं' जो एक आन पे तेरे अदा हुआ
क्या ख़ुश अदा उसे तिरी ऐ ख़ुश-अदा लगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghamgeen Dehlvi
our suggestion based on Ghamgeen Dehlvi
As you were reading Nigaah Shayari Shayari