mera us ke pas-e-deewaar ghar hota to kya hota | मिरा उस के पस-ए-दीवार घर होता तो क्या होता

  - Ghamgeen Dehlvi

mera us ke pas-e-deewaar ghar hota to kya hota
qaza se ai falak gar is qadar hota to kya hota

janaaze par mere us shokh ko laaya hai tu aakhir
agar ai ishq kuchh tujh mein asar hota to kya hota

hua behosh bilkul aah us ki aamad aamad mein
gar aane se main us ke ba-khabar hota to kya hota

isee aalam mein hain ye lutf ai dil ishq-baazi ke
agar baag-e-jinaan mein bul-bashar hota to kya hota

tajalli to hui moosa ko par meri tarah waiz
hamesha jalva-gar har ik shajar hota to kya hota

hunar-mandon ko tere haath se hai zindagi mushkil
jo tujh mein bhi koi ai dil hunar hota to kya hota

kiya badnaam ik aalam ne gamgeen paak-baazi mein
jo main teri tarah se bad-nazar hota to kya hota

मिरा उस के पस-ए-दीवार घर होता तो क्या होता
क़ज़ा से ऐ फ़लक गर इस क़दर होता तो क्या होता

जनाज़े पर मिरे उस शोख़ को लाया है तू आख़िर
अगर ऐ इश्क़ कुछ तुझ में असर होता तो क्या होता

हुआ बेहोश बिल्कुल आह उस की आमद आमद में
गर आने से मैं उस के बा-ख़बर होता तो क्या होता

इसी आलम में हैं ये लुत्फ़ ऐ दिल इश्क़-बाज़ी के
अगर बाग़-ए-जिनाँ में बुल-बशर होता तो क्या होता

तजल्ली तो हुई मूसा को पर मेरी तरह वाइज़
हमेशा जल्वा-गर हर इक शजर होता तो क्या होता

हुनर-मंदों को तेरे हाथ से है ज़िंदगी मुश्किल
जो तुझ में भी कोई ऐ दिल हुनर होता तो क्या होता

किया बदनाम इक आलम ने 'ग़मगीं' पाक-बाज़ी में
जो मैं तेरी तरह से बद-नज़र होता तो क्या होता

  - Ghamgeen Dehlvi

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghamgeen Dehlvi

As you were reading Shayari by Ghamgeen Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Ghamgeen Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari