jo na wahm-o-gumaan mein aave
kis tarah tere dhyaan mein aave
tujh se hamdam rakhoon na poshida
haal-e-dil gar bayaan mein aave
meri ye aarzoo hai waqt-e-marg
us ki awaaz kaan mein aave
main na doonga jawaab tu kah le
jo ki teri zabaan mein aave
ye shab-e-wasl khair se guzre
to meri jaan jaan mein aave
haaye kya ho abhi jo ai hamdam
vo sanam is makaan mein aave
gar khule chashm-e-dil to tujh ko nazar
vo hi saare jahaan mein aave
us ki taarif kya karoon gamgeen
hal-ata jis ki shaan mein aave
जो न वहम-ओ-गुमान में आवे
किस तरह तेरे ध्यान में आवे
तुझ से हमदम रखूँ न पोशीदा
हाल-ए-दिल गर बयान में आवे
मेरी ये आरज़ू है वक़्त-ए-मर्ग
उस की आवाज़ कान में आवे
मैं न दूँगा जवाब तू कह ले
जो कि तेरी ज़बान में आवे
ये शब-ए-वस्ल ख़ैर से गुज़रे
तो मिरी जान जान में आवे
हाए क्या हो अभी जो ऐ हमदम
वो सनम इस मकान में आवे
गर खुले चश्म-ए-दिल तो तुझ को नज़र
वो ही सारे जहान में आवे
उस की तारीफ़ क्या करूँ 'ग़मगीं'
हल-अता जिस की शान में आवे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghamgeen Dehlvi
our suggestion based on Ghamgeen Dehlvi
As you were reading Aarzoo Shayari Shayari