us ke kooche mein gaya main so phir aaya na gaya
main wahan aap ko dhoonda to main paaya na gaya
gum hua dil mere pahluu se ki paaya na gaya
shaayad us kooche mein ja us se phir aaya na gaya
dam-b-khud ho ke mua us ki nazaakat ke sabab
aah-o-naala bhi mujhe us ko sunaaya na gaya
us ne ik roz mein sau baar rulaaya mujh ko
mujh se par us but-e-khush-khoo ko manaaya na gaya
baad ik umr ke kya tujh se kahoon ai gamgeen
haal-e-dil us ne jo poocha to sunaaya na gaya
उस के कूचे में गया मैं सो फिर आया न गया
मैं वहाँ आप को ढूँडा तो मैं पाया न गया
गुम हुआ दिल मिरे पहलू से कि पाया न गया
शायद उस कूचे में जा उस से फिर आया न गया
दम-ब-ख़ुद हो के मुआ उस की नज़ाकत के सबब
आह-ओ-नाला भी मुझे उस को सुनाया न गया
उस ने इक रोज़ में सौ बार रुलाया मुझ को
मुझ से पर उस बुत-ए-ख़ुश-ख़ू को मनाया न गया
बाद इक उम्र के क्या तुझ से कहूँ ऐ 'ग़मगीं'
हाल-ए-दिल उस ने जो पूछा तो सुनाया न गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghamgeen Dehlvi
our suggestion based on Ghamgeen Dehlvi
As you were reading Andaaz Shayari Shayari