sukhun ka lahja gumaan-khaane mein rah gaya hai | सुख़न का लहजा गुमान-ख़ाने में रह गया है

  - Ghazanfar Hashmi

sukhun ka lahja gumaan-khaane mein rah gaya hai
mera zamaana kisi zamaane mein rah gaya hai

jo tujh ko jaana hai is andhere mein hi chala ja
bas ek lamha diya jalane mein rah gaya hai

abhi tahee-dast mujh ko mat jaan ai zamaane
ki ek aansu mere khazaane mein rah gaya hai

kabhi jo hukm-e-safar hua to khula ye mujh par
jo par salaamat tha aashiyaane mein rah gaya hai

ajab tarah ka adhooraapan hai mere bayaan mein
so mera qissa kahi sunaane mein rah gaya hai

bahut zaroori tha khud se milna magar ghazanfar
ye kaar-e-duniya ke taane-baane mein rah gaya hai

सुख़न का लहजा गुमान-ख़ाने में रह गया है
मिरा ज़माना किसी ज़माने में रह गया है

जो तुझ को जाना है इस अँधेरे में ही चला जा
बस एक लम्हा दिया जलाने में रह गया है

अभी तही-दस्त मुझ को मत जान ऐ ज़माने
कि एक आँसू मिरे ख़ज़ाने में रह गया है

कभी जो हुक्म-ए-सफ़र हुआ तो खुला ये मुझ पर
जो पर सलामत था आशियाने में रह गया है

अजब तरह का अधूरापन है मिरे बयाँ में
सो मेरा क़िस्सा कहीं सुनाने में रह गया है

बहुत ज़रूरी था ख़ुद से मिलना मगर ग़ज़ंफ़र
ये कार-ए-दुनिया के ताने-बाने में रह गया है

  - Ghazanfar Hashmi

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar Hashmi

As you were reading Shayari by Ghazanfar Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar Hashmi

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari