be-chehregi-e-umr khaalat bhi bahut hai | बे-चेहरगी-ए-उम्र ख़जालत भी बहुत है

  - Ghazanfar Hashmi

be-chehregi-e-umr khaalat bhi bahut hai
is dasht mein girdaab ki soorat bhi bahut hai

aankhen jo liye firta hoon ai khwaab musalsal
mere liye ye kaar-e-aziyyat bhi bahut hai

tum zaad-e-safar itna uthaoge kahaan tak
asbaab mein ik ranj-e-masaafat bhi bahut hai

do saans bhi ho jaayen bahm habs-e-badan mein
ai umr-e-ravaan itni karaamat bhi bahut hai

kuchh ujrat-e-hasti bhi nahin apne mutaabiq
kuchh kaar-e-tanaffus mein mashqat bhi bahut hai

ab maut mujhe maar ke kya degi ghazanfar
aankhon ko to ye aalam-e-hairat bhi bahut hai

बे-चेहरगी-ए-उम्र ख़जालत भी बहुत है
इस दश्त में गिर्दाब की सूरत भी बहुत है

आँखें जो लिए फिरता हूँ ऐ ख़्वाब मुसलसल
मेरे लिए ये कार-ए-अज़िय्यत भी बहुत है

तुम ज़ाद-ए-सफ़र इतना उठाओगे कहाँ तक
अस्बाब में इक रंज-ए-मसाफ़त भी बहुत है

दो साँस भी हो जाएँ बहम हब्स-ए-बदन में
ऐ उम्र-ए-रवाँ इतनी करामत भी बहुत है

कुछ उजरत-ए-हस्ती भी नहीं अपने मुताबिक़
कुछ कार-ए-तनफ़्फ़ुस में मशक़्क़त भी बहुत है

अब मौत मुझे मार के क्या देगी 'ग़ज़नफ़र'
आँखों को तो ये आलम-ए-हैरत भी बहुत है

  - Ghazanfar Hashmi

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar Hashmi

As you were reading Shayari by Ghazanfar Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar Hashmi

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari