aisa khaamosh to manzar na fana ka hota | ऐसा ख़ामोश तो मंज़र न फ़ना का होता - Gulzar

aisa khaamosh to manzar na fana ka hota
meri tasveer bhi girti to chhanaaka hota

yun bhi ik baar to hota ki samundar bahta
koi ehsaas to dariya ki ana ka hota

saans mausam ki bhi kuch der ko chalne lagti
koi jhonka tiri palkon ki hawa ka hota

kaanch ke paar tire haath nazar aate hain
kaash khushboo ki tarah rang hina ka hota

kyun meri shakl pahan leta hai chhupne ke liye
ek chehra koi apna bhi khuda ka hota

ऐसा ख़ामोश तो मंज़र न फ़ना का होता
मेरी तस्वीर भी गिरती तो छनाका होता

यूँ भी इक बार तो होता कि समुंदर बहता
कोई एहसास तो दरिया की अना का होता

साँस मौसम की भी कुछ देर को चलने लगती
कोई झोंका तिरी पलकों की हवा का होता

काँच के पार तिरे हाथ नज़र आते हैं
काश ख़ुशबू की तरह रंग हिना का होता

क्यूँ मिरी शक्ल पहन लेता है छुपने के लिए
एक चेहरा कोई अपना भी ख़ुदा का होता

- Gulzar
3 Likes

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari