kai dinon se use mujh se koi kaam nahin
yahi sabab hai ki mujh se dua salaam nahin
abhi safar mein hoon chalna mera muqaddar hai
pahunch gaya hoon jahaan vo mera maqaam nahin
fazaa kaseef kiye ja rahe hain log magar
lagata un pe yahan par koi nizaam nahin
vo lautne ka bahaana bhi dhundh saka hai
khayal hai mera lekin khayal khaam nahin
tumhaare mahal ki buniyaad mein hain dafn magar
koi bhi mahal mein leta hamaara naam nahin
कई दिनों से उसे मुझ से कोई काम नहीं
यही सबब है कि मुझ से दुआ सलाम नहीं
अभी सफ़र में हूँ चलना मिरा मुक़द्दर है
पहुँच गया हूँ जहाँ वो मिरा मक़ाम नहीं
फ़ज़ा कसीफ़ किए जा रहे हैं लोग मगर
लगाता उन पे यहाँ पर कोई निज़ाम नहीं
वो लौटने का बहाना भी ढूँड सकता है
ख़याल है मिरा लेकिन ख़याल ख़ाम नहीं
तुम्हारे महल की बुनियाद में हैं दफ़्न मगर
कोई भी महल में लेता हमारा नाम नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Kaifi
our suggestion based on Habeeb Kaifi
As you were reading Musafir Shayari Shayari