hadees-e-talkhi-e-ayyaam se takleef hoti hai | हदीस-ए-तल्ख़ी-ए-अय्याम से तकलीफ़ होती है

  - Hafeez Banarasi

hadees-e-talkhi-e-ayyaam se takleef hoti hai
sehar waalon ko zikr-e-shaam se takleef hoti hai

wahi kaafir ki jis ka naam taskin-dil-o-jaan tha
sitam hai ab usi ke naam se takleef hoti hai

maqaam aisa bhi aata hai guzargaah-e-mohabbat mein
musaafir ko jahaan aaraam se takleef hoti hai

shikast-e-dil ki manzil se agar guzre to kya hoga
abhi tum ko shikast-e-jaam se takleef hoti hai

hafiz ahl-e-gulistaan se hamaara haal mat kehna
unhen zikr-e-aseer-e-daam se takleef hoti hai

हदीस-ए-तल्ख़ी-ए-अय्याम से तकलीफ़ होती है
सहर वालों को ज़िक्र-ए-शाम से तकलीफ़ होती है

वही काफ़िर कि जिस का नाम तस्कीन-दिल-ओ-जाँ था
सितम है अब उसी के नाम से तकलीफ़ होती है

मक़ाम ऐसा भी आता है गुज़रगाह-ए-मोहब्बत में
मुसाफ़िर को जहाँ आराम से तकलीफ़ होती है

शिकस्त-ए-दिल की मंज़िल से अगर गुज़रे तो क्या होगा
अभी तुम को शिकस्त-ए-जाम से तकलीफ़ होती है

'हफ़ीज़' अहल-ए-गुलिस्ताँ से हमारा हाल मत कहना
उन्हें ज़िक्र-ए-असीर-ए-दाम से तकलीफ़ होती है

  - Hafeez Banarasi

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarasi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarasi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarasi

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari