jab tasavvur mein koi maah-jabeen hota hai | जब तसव्वुर में कोई माह-जबीं होता है

  - Hafeez Banarasi

jab tasavvur mein koi maah-jabeen hota hai
raat hoti hai magar din ka yaqeen hota hai

uf vo bedaad inaayat bhi tasadduq jis par
haaye vo gham jo masarrat se haseen hota hai

hijr ki raat fusoon-kaari-e-zulmat mat pooch
sham'a jaltee hai magar noor nahin hota hai

door tak ham ne jo dekha to ye maaloom hua
ki vo insaan ki rag-e-jaan se qareen hota hai

ishq mein maarka-e-qalb-o-nazar kya kahiye
chot lagti hai kahi dard kahi hota hai

ham ne dekhe hain vo aalam bhi mohabbat mein hafiz
aastaan khud jahaan mushtaak-e-jabeen hota hai

जब तसव्वुर में कोई माह-जबीं होता है
रात होती है मगर दिन का यक़ीं होता है

उफ़ वो बेदाद इनायत भी तसद्दुक़ जिस पर
हाए वो ग़म जो मसर्रत से हसीं होता है

हिज्र की रात फ़ुसूँ-कारी-ए-ज़ुल्मत मत पूछ
शम्अ जलती है मगर नूर नहीं होता है

दूर तक हम ने जो देखा तो ये मालूम हुआ
कि वो इंसाँ की रग-ए-जाँ से क़रीं होता है

इश्क़ में मारका-ए-क़ल्ब-ओ-नज़र क्या कहिए
चोट लगती है कहीं दर्द कहीं होता है

हम ने देखे हैं वो आलम भी मोहब्बत में 'हफ़ीज़'
आस्ताँ ख़ुद जहाँ मुश्ताक़-ए-जबीं होता है

  - Hafeez Banarasi

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarasi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarasi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarasi

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari