ye kaisi hawaa-e-gham-o-aazaar chali hai
khud baad-e-bahaari bhi sharar-baar chali hai
dekhi hi na thi jis ne shikast aaj tak apni
vo chashm-e-fusoon-khez bhi dil haar chali hai
ab koi hadees-e-qad-o-gesoo nahin sunta
duniya mein vo rasm-e-rasan-o-daar chali hai
takta hi nahin koi may o jaam ki jaanib
kya chaal ye tu ne nigah-e-yaar chali hai
vo log kahaan jaayen jo kaafir hain na deen-daar
phir kashmakash-e-kaafir-o-deen-daar chali hai
baat aur bhi kuchh may ki mazammat ke alaava
ye baat to ai shaikh kai baar chali hai
deewaangi-e-shauq mein jo kar gaye ham log
meyaar-e-khird ban ke vo guftaar chali hai
saazish na ho kuchh dair o haram waalon ki is mein
sunta hoon ki may-khaane mein talwaar chali hai
kab yaad kiya ham ko hafiz ahl-e-chaman ne
jab zeest soo-e-waadi-e-pur-khaar chali hai
ये कैसी हवा-ए-ग़म-ओ-आज़ार चली है
ख़ुद बाद-ए-बहारी भी शरर-बार चली है
देखी ही न थी जिस ने शिकस्त आज तक अपनी
वो चश्म-ए-फ़ुसूँ-ख़ेज़ भी दिल हार चली है
अब कोई हदीस-ए-क़द-ओ-गेसू नहीं सुनता
दुनिया में वो रस्म-ए-रसन-ओ-दार चली है
तकता ही नहीं कोई मय ओ जाम की जानिब
क्या चाल ये तू ने निगह-ए-यार चली है
वो लोग कहाँ जाएँ जो काफ़िर हैं न दीं-दार
फिर कशमकश-ए-काफ़िर-ओ-दीन-दार चली है
बात और भी कुछ मय की मज़म्मत के अलावा
ये बात तो ऐ शैख़ कई बार चली है
दीवानगी-ए-शौक़ में जो कर गए हम लोग
मेयार-ए-ख़िरद बन के वो गुफ़्तार चली है
साज़िश न हो कुछ दैर ओ हरम वालों की इस में
सुनता हूँ कि मय-ख़ाने में तलवार चली है
कब याद किया हम को 'हफ़ीज़' अहल-ए-चमन ने
जब ज़ीस्त सू-ए-वादी-ए-पुर-ख़ार चली है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Banarasi
our suggestion based on Hafeez Banarasi
As you were reading I Miss you Shayari Shayari