muddat ki tishnagi ka ina'am chahta hoon | मुद्दत की तिश्नगी का इनआ'म चाहता हूँ

  - Hafeez Banarasi

muddat ki tishnagi ka ina'am chahta hoon
masti bhari nazar se ik jaam chahta hoon

ai gardish-e-zamaana zahmat to hogi tujh ko
kuchh der ke liye main aaraam chahta hoon

kal ham se kah raha tha shohrat-talab zamaana
tum kaam chahte ho main naam chahta hoon

subh-e-hayaat le le ai zulf-e-yaar lekin
main tujh se is ke badle ik shaam chahta hoon

baad-e-saba se kah do meri taraf bhi aaye
main bhi hafiz un ka paighaam chahta hoon

मुद्दत की तिश्नगी का इनआ'म चाहता हूँ
मस्ती भरी नज़र से इक जाम चाहता हूँ

ऐ गर्दिश-ए-ज़माना ज़हमत तो होगी तुझ को
कुछ देर के लिए मैं आराम चाहता हूँ

कल हम से कह रहा था शोहरत-तलब ज़माना
तुम काम चाहते हो मैं नाम चाहता हूँ

सुब्ह-ए-हयात ले ले ऐ ज़ुल्फ़-ए-यार लेकिन
मैं तुझ से इस के बदले इक शाम चाहता हूँ

बाद-ए-सबा से कह दो मेरी तरफ़ भी आए
मैं भी 'हफ़ीज़' उन का पैग़ाम चाहता हूँ

  - Hafeez Banarasi

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarasi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarasi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarasi

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari