aa jaao ki mil kar ham jeene ki bina daalen | आ जाओ कि मिल कर हम जीने की बिना डालें

  - Hafeez Banarasi

aa jaao ki mil kar ham jeene ki bina daalen
ye baar-e-hayaat ai dost uthne ka nahin tanhaa

duniya pe musallat hai awhaam ki taarikee
ham hain ki jalaae hain ik sham-e-yaqeen tanhaa

muhtaaj-e-tavajjoh hain kuchh aur masaail bhi
kyun zehan mein phirti hai ik naan-e-javeen tanhaa

har murgh-e-khush-alhaan ab parwaaz pe maail hai
gulshan mein na rah jaaye sayyaad kahi tanhaa

sajde dar-e-jaanaan par laakhon ne kiye lekin
me'aar-e-wafa thehri meri hi jabeen tanhaa

ik husn-e-tasavvur hai jo zeest ka saathi hai
vo koi bhi manzil ho ham log nahin tanhaa

nazdeek hafiz is ke rind aayein to kya aayein
jaageer hai zaahid ki sarmaaya-e-deen tanhaa

आ जाओ कि मिल कर हम जीने की बिना डालें
ये बार-ए-हयात ऐ दोस्त उठने का नहीं तन्हा

दुनिया पे मुसल्लत है औहाम की तारीकी
हम हैं कि जलाए हैं इक शम-ए-यक़ीं तन्हा

मुहताज-ए-तवज्जोह हैं कुछ और मसाइल भी
क्यूँ ज़ेहन में फिरती है इक नान-ए-जवीं तन्हा

हर मुर्ग़-ए-ख़ुश-अलहाँ अब पर्वाज़ पे माइल है
गुलशन में न रह जाए सय्याद कहीं तन्हा

सज्दे दर-ए-जानाँ पर लाखों ने किए लेकिन
मे'आर-ए-वफ़ा ठहरी मेरी ही जबीं तन्हा

इक हुस्न-ए-तसव्वुर है जो ज़ीस्त का साथी है
वो कोई भी मंज़िल हो हम लोग नहीं तन्हा

नज़दीक 'हफ़ीज़' इस के रिंद आएँ तो क्या आएँ
जागीर है ज़ाहिद की सरमाया-ए-दीं तन्हा

  - Hafeez Banarasi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarasi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarasi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarasi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari