tere vaaste gidgidhaate rahe
khuda ki qasam jaon lutate rahe
kabhi badgumaani kabhi ranj-o-gham
hamein sab yahaan aazmaate rahe
wafadar bhi ham humeen bewafa
sitam hai ye kaisa jo dhhaate rahe
agar tum nahin to koi bhi nahin
zamaane se ham kya bataate rahe
tumhein kya khabar ham wafadar the
hamein tum faqat aazmaate rahe
तेरे वास्ते गिड़गिड़ाते रहे
ख़ुदा की क़सम जाॅं लुटाते रहे
कभी बदगुमानी कभी रंज-ओ-ग़म
हमें सब यहाॅं आज़माते रहे
वफ़ादार भी हम हमीं बेवफ़ा
सितम है ये कैसा जो ढाते रहे
अगर तुम नहीं तो कोई भी नहीं
ज़माने से हम क्या बताते रहे
तुम्हें क्या ख़बर हम वफ़ादार थे
हमें तुम फ़क़त आज़माते रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hameed Sarwar Bahraichi
our suggestion based on Hameed Sarwar Bahraichi
As you were reading Bewafa Shayari Shayari