hai mashq-e-sukhan jaari chakki ki mashqat bhi | है मश्क़-ए-सुख़न जारी चक्की की मशक़्क़त भी - Hasrat Mohani

hai mashq-e-sukhan jaari chakki ki mashqat bhi
ik turfah tamasha hai hasrat ki tabeeyat bhi

jo chaaho saza de lo tum aur bhi khul khelo
par hum se qasam le lo ki ho jo shikaayat bhi

dushwaar hai rindon par inkaar-e-karam yaksar
ai saaqi-e-jaan-parvar kuch lutf-o-inaayat bhi

dil bas-ki hai deewaana us husn-e-gulaabi ka
rangeen hai usi roo se shaayad gham-e-furqat bhi

khud ishq ki gustaakhi sab tujh ko sikha degi
ai husn-e-haya-parvar shokhi bhi sharaarat bhi

barsaat ke aate hi tauba na rahi baaki
baadal jo nazar aaye badli meri niyat bhi

ushshaq ke dil naazuk us shokh ki khoo naazuk
naazuk isee nisbat se hai kaar-e-mohabbat bhi

rakhte hain mere dil par kyun tohmat-e-betaabi
yaa naala-e-muztar ki jab mujh mein ho quwwat bhi

ai shauq ki bebaki vo kya teri khwaahish thi
jis par unhen gussa hai inkaar bhi hairat bhi

har-chand hai dil shaida hurriyat-e-kaamil ka
manzoor-e-dua lekin hai qaid-e-mohabbat bhi

hain shaad o safee shaair ya shauq o wafa hasrat
phir zaamin o mahshar hain iqbaal bhi vehshat bhi

है मश्क़-ए-सुख़न जारी चक्की की मशक़्क़त भी
इक तुर्फ़ा तमाशा है 'हसरत' की तबीअत भी

जो चाहो सज़ा दे लो तुम और भी खुल खेलो
पर हम से क़सम ले लो की हो जो शिकायत भी

दुश्वार है रिंदों पर इंकार-ए-करम यकसर
ऐ साक़ी-ए-जाँ-परवर कुछ लुत्फ़-ओ-इनायत भी

दिल बस-कि है दीवाना उस हुस्न-ए-गुलाबी का
रंगीं है उसी रू से शायद ग़म-ए-फ़ुर्क़त भी

ख़ुद इश्क़ की गुस्ताख़ी सब तुझ को सिखा देगी
ऐ हुस्न-ए-हया-परवर शोख़ी भी शरारत भी

बरसात के आते ही तौबा न रही बाक़ी
बादल जो नज़र आए बदली मेरी नीयत भी

उश्शाक़ के दिल नाज़ुक उस शोख़ की ख़ू नाज़ुक
नाज़ुक इसी निस्बत से है कार-ए-मोहब्बत भी

रखते हैं मिरे दिल पर क्यूँ तोहमत-ए-बेताबी
याँ नाला-ए-मुज़्तर की जब मुझ में हो क़ुव्वत भी

ऐ शौक़ की बेबाकी वो क्या तेरी ख़्वाहिश थी
जिस पर उन्हें ग़ुस्सा है इंकार भी हैरत भी

हर-चंद है दिल शैदा हुर्रियत-ए-कामिल का
मंज़ूर-ए-दुआ लेकिन है क़ैद-ए-मोहब्बत भी

हैं 'शाद' ओ 'सफ़ी' शाइर या 'शौक़' ओ 'वफ़ा' 'हसरत'
फिर 'ज़ामिन' ओ 'महशर' हैं 'इक़बाल' भी 'वहशत' भी

- Hasrat Mohani
0 Likes

Baarish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Baarish Shayari Shayari