be-zameeroon ke kabhi jhaanse mein main aata nahin | बे-ज़मीरों के कभी झाँसे में मैं आता नहीं

  - Ibrat Bahraichi

be-zameeroon ke kabhi jhaanse mein main aata nahin
mushkilon ki bheed se hargiz main ghabraata nahin

mujh se ab apni zabaan se kuchh kaha jaata nahin
jurm kar ke bhi koi mujrim saza paata nahin

meri khuddaari sada karti hai meri rahbari
main kabhi patthar se apne sar ko takraata nahin

haq-shanasi mera maslak haq-parasti mera kaam
main khilauno se kabhi dil apna behlaata nahin

ped jo deta hai saaya dhoop mein rehta hai vo
raushni deta hai jo vo raushni paata nahin

aadmi ke paas khud zaati masaail hain bahut
doosron ke ab masaail koi suljhaata nahin

aarzooon ke charaagon ko bujha baitha hoon main
koi insaan aa ke mere dil ko behlaata nahin

बे-ज़मीरों के कभी झाँसे में मैं आता नहीं
मुश्किलों की भीड़ से हरगिज़ मैं घबराता नहीं

मुझ से अब अपनी ज़बाँ से कुछ कहा जाता नहीं
जुर्म कर के भी कोई मुजरिम सज़ा पाता नहीं

मेरी ख़ुद्दारी सदा करती है मेरी रहबरी
मैं कभी पत्थर से अपने सर को टकराता नहीं

हक़-शनासी मेरा मस्लक हक़-परस्ती मेरा काम
मैं खिलौनों से कभी दिल अपना बहलाता नहीं

पेड़ जो देता है साया धूप में रहता है वो
रौशनी देता है जो वो रौशनी पाता नहीं

आदमी के पास ख़ुद ज़ाती मसाइल हैं बहुत
दूसरों के अब मसाइल कोई सुलझाता नहीं

आरज़ूओं के चराग़ों को बुझा बैठा हूँ मैं
कोई इंसाँ आ के मेरे दिल को बहलाता नहीं

  - Ibrat Bahraichi

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibrat Bahraichi

As you were reading Shayari by Ibrat Bahraichi

Similar Writers

our suggestion based on Ibrat Bahraichi

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari