ye tira baankpan ye raanaai | ये तिरा बाँकपन ये रानाई

  - Iftikhar Jameel Shaheen

ye tira baankpan ye raanaai
rashk-e-mehtaab teri zebaai

husn tera ajab karishma hai
ek aalam bana tamaashaai

yaad aaya mujhe badan tera
door qaus-e-quzah jo lahraai

jab se sham-e-wafa jalai hai
anjuman ban gai hai tanhaai

yun guzarte hain dekh kar mujh ko
jaise mujh se nahin shanaasaai

deep yaadon ke jal hi jaate hain
chhed deti hai jab bhi purvaai

nashtar-e-gham na jis ko raas aaya
zeest us ko kabhi na raas aayi

ek roo-e-haseen nazar aaya
ab charaagon mein raushni aayi

ishq ki khud-supurdagi dekhi
khud tamasha bana tamaashaai

ये तिरा बाँकपन ये रानाई
रश्क-ए-महताब तेरी ज़ेबाई

हुस्न तेरा अजब करिश्मा है
एक आलम बना तमाशाई

याद आया मुझे बदन तेरा
दूर क़ौस-ए-क़ुज़ह जो लहराई

जब से शम-ए-वफ़ा जलाई है
अंजुमन बन गई है तन्हाई

यूँ गुज़रते हैं देख कर मुझ को
जैसे मुझ से नहीं शनासाई

दीप यादों के जल ही जाते हैं
छेड़ देती है जब भी पुर्वाई

नश्तर-ए-ग़म न जिस को रास आया
ज़ीस्त उस को कभी न रास आई

एक रू-ए-हसीं नज़र आया
अब चराग़ों में रौशनी आई

इश्क़ की ख़ुद-सुपुर्दगी देखी
ख़ुद तमाशा बना तमाशाई

  - Iftikhar Jameel Shaheen

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Jameel Shaheen

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari