rakh-rakhaav mein koi khwaar nahin hota yaar | रख-रखाव में कोई ख़्वार नहीं होता यार

  - Iftikhar Mughal

rakh-rakhaav mein koi khwaar nahin hota yaar
dost hote hain har ik yaar nahin hota yaar

do ghadi baitho mere paas kaho kaisi ho
do ghadi baithne se pyaar nahin hota yaar

yaar ye hijr ka gham is se to maut achhi hai
jaan se yun hi koi bezaar nahin hota yaar

rooh sunti hai mohabbat mein badan bolte hain
lafz paraaya-e-izhaar nahin hota yaar

naukri shaay'ri ghar-baar zamaana qadren
ik mohabbat hi ka aazaar nahin hota yaar

khush-dili aur hai aur ishq ka aazaar kuchh aur
pyaar ho jaaye to iqaar nahin hota yaar

ladkiyaan lafz ki tasveer chhupa leti hain
un ka izhaar bhi izhaar nahin hota yaar

aadmi ishq mein bhi khud se nahin ghat saka
aadmi saaya-e-deewar nahin hota yaar

gher leti hai koi zulf koi boo-e-badan
jaan kar koi girftaar nahin hota yaar

yahi ham aap hain hasti ki kahaani is mein
koi afsaanvi kirdaar nahin hota yaar

रख-रखाव में कोई ख़्वार नहीं होता यार
दोस्त होते हैं, हर इक यार नहीं होता यार

दो घड़ी बैठो मिरे पास, कहो कैसी हो
दो घड़ी बैठने से प्यार नहीं होता यार

यार! ये हिज्र का ग़म! इस से तो मौत अच्छी है
जाँ से यूँ ही कोई बेज़ार नहीं होता यार

रूह सुनती है मोहब्बत में बदन बोलते हैं
लफ़्ज़ पैराया-ए-इज़हार नहीं होता यार

नौकरी, शाइ'री, घर-बार, ज़माना, क़द्रें
इक मोहब्बत ही का आज़ार नहीं होता यार

ख़ुश-दिली और है और इश्क़ का आज़ार कुछ और
प्यार हो जाए तो इक़रार नहीं होता यार

लड़कियाँ लफ़्ज़ की तस्वीर छुपा लेती हैं
उन का इज़हार भी इज़हार नहीं होता यार

आदमी इश्क़ में भी ख़ुद से नहीं घट सकता
आदमी साया-ए-दीवार नहीं होता यार!!

घेर लेती है कोई ज़ुल्फ़, कोई बू-ए-बदन
जान कर कोई गिरफ़्तार नहीं होता यार

यही हम आप हैं हस्ती की कहानी, इस में
कोई अफ़्सानवी किरदार नहीं होता यार

  - Iftikhar Mughal

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Mughal

As you were reading Shayari by Iftikhar Mughal

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Mughal

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari