sawaad-e-hijr mein rakha hua diya hoon main
tujhe khabar nahin kis aag mein jala hoon main
main qaryaa qaryaa fira gard-baad ban ke jahaan
usi zameen pe parcham-sifat utha hoon main
abhi chhuti nahin jannat ki dhool paanv se
hanooz farsh-e-zameen par naya naya hoon main
hazaar shukr hai ki khud pe ustuvaar tha main
hazaar shukr ki buniyaad par gira hoon main
meri shaguft ke mausam abhi nahin aaye
kahi kahi pe magar phir bhi khil gaya hoon main
meri shikast bhi hai rekht iftikhaar-mughal
ki yoonhi banne bigarne mein hi bana hoon main
सवाद-ए-हिज्र में रक्खा हुआ दिया हूँ मैं
तुझे ख़बर नहीं किस आग में जला हूँ मैं
मैं क़र्या क़र्या फिरा गर्द-बाद बन के जहाँ
उसी ज़मीन पे परचम-सिफ़त उठा हूँ मैं
अभी छुटी नहीं जन्नत की धूल पाँव से
हनूज़ फ़र्श-ए-ज़मीं पर नया नया हूँ मैं
हज़ार शुक्र है कि ख़ुद पे उस्तुवार था मैं
हज़ार शुक्र कि बुनियाद पर गिरा हूँ मैं
मिरी शगुफ़्त के मौसम अभी नहीं आए
कहीं कहीं पे मगर फिर भी खिल गया हूँ मैं
मिरी शिकस्त भी है रेख़्त 'इफ़्तिख़ार-मुग़ल'
कि यूँही बनने बिगड़ने में ही बना हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Mughal
our suggestion based on Iftikhar Mughal
As you were reading Duniya Shayari Shayari