kabhi kabhi to ye haalat bhi ki mohabbat ne
nidhaal kar diya mujh ko tiri mohabbat ne
tiri ye pehli mohabbat hai tujh ko kya maaloom
ghula diya mujhe is aakhiri mohabbat ne
vo yun bhi khair se sarma ka chaand thi lekin
use ujaal diya aur bhi mohabbat ne
mujhe khuda ne adhoora hi chhodna tha magar
mujhe bana diya ik shakhs ki mohabbat ne
ye tum jo mere liye khwaab chhod aayi ho
tumhein jagaaya to hoga meri mohabbat ne
main jis ko pehle pehal dil-lagi samajhta tha
mujhe to maar diya is nayi mohabbat ne
ye apne apne naseebon ki baat hai warna
kisi ko meer banaya isee mohabbat ne
ye jism-o-jaan ye naam-o-numood hasb-o-nasab
ye saare vaham the izzat to di mohabbat ne
mohabbat aur ibadat mein farq to hai naan
so cheen li hai tiri dosti mohabbat ne
कभी कभी तो ये हालत भी की मोहब्बत ने
निढाल कर दिया मुझ को तिरी मोहब्बत ने
तिरी ये पहली मोहब्बत है तुझ को क्या मालूम
घुला दिया मुझे इस आख़िरी मोहब्बत ने
वो यूँ भी ख़ैर से सरमा का चाँद थी लेकिन
उसे उजाल दिया और भी मोहब्बत ने
मुझे ख़ुदा ने अधूरा ही छोड़ना था मगर
मुझे बना दिया इक शख़्स की मोहब्बत ने
ये तुम जो मेरे लिए ख़्वाब छोड़ आई हो
तुम्हें जगाया तो होगा मिरी मोहब्बत ने
मैं जिस को पहले पहल दिल-लगी समझता था
मुझे तो मार दिया इस नई मोहब्बत ने
ये अपने अपने नसीबों की बात है वर्ना
किसी को 'मीर' बनाया इसी मोहब्बत ने
ये जिस्म-ओ-जान ये नाम-ओ-नुमूद हस्ब-ओ-नसब
ये सारे वहम थे इज़्ज़त तो दी मोहब्बत ने
मोहब्बत और इबादत में फ़र्क़ तो है नाँ
सो छीन ली है तिरी दोस्ती मोहब्बत ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Mughal
our suggestion based on Iftikhar Mughal
As you were reading Shama Shayari Shayari