tumhein bhi chaaha zamaane se bhi wafa ki thi
ye nighdaari junoon ne juda juda ki thi
vo saara qissa faqat rakh-rakhaav ka to na tha
us ek naam se nisbat bhi intiha ki thi
kisi chhabele mein vo chhab nazar nahin aayi
vo ek chhab ki jo us aaina-qaba ki thi
khuda sila de dua ka mohabbaton ke khuda
khuda kisi ne kisi ke liye dua ki thi
main apna chehra kahaan dhoondhta phiroonga ab
ki main ne teri jabeen apna aaina ki thi
hamein tabaah to hona tha apni apni jagah
taveel jang thi aur jang bhi ana ki thi
saba-nafs tha vo aur main tha gard-baad-mizaaj
hamaare beech thi jo qadr so hawa ki thi
तुम्हें भी चाहा, ज़माने से भी वफ़ा की थी
ये निग्हदारी जुनूँ ने जुदा जुदा की थी
वो सारा क़िस्सा फ़क़त रख-रखाव का तो न था
उस एक नाम से निस्बत भी इंतिहा की थी
किसी छबीले में वो छब नज़र नहीं आई
वो एक छब कि जो उस आईना-क़बा की थी
ख़ुदा! सिला दे दुआ का, मोहब्बतों के ख़ुदा
ख़ुदा! किसी ने किसी के लिए दुआ की थी
मैं अपना चेहरा कहाँ ढूँढता फिरूंगा अब
कि मैं ने तेरी जबीं अपना आइना की थी
हमें तबाह तो होना था अपनी अपनी जगह!
तवील जंग थी और जंग भी अना की थी
सबा-नफ़स था वो और मैं था गर्द-बाद-मिज़ाज
हमारे बीच थी जो क़द्र सो हवा की थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Mughal
our suggestion based on Iftikhar Mughal
As you were reading War Shayari Shayari