ik khala ek la-intihaa aur main | इक ख़ला, एक ला-इंतिहा और मैं

  - Iftikhar Mughal

ik khala ek la-intihaa aur main
kitne tanhaa hain mera khuda aur main

kitne nazdeek aur kis qadar ajnabi
mujh mein mujh sa koi doosra aur main

log bhi so gaye rog bhi so gaye
jaagte hain mera rat-jaga aur main

raat aur raat mein goonjti ek baat
ek khauf ik munder ik diya aur main

shehar taaraaj hai jabr ka raaj hai
phir bhi saabit hain meri ana aur main

tere mausam tiri guftugoo aur tu
meri aankhon mein ik an-kaha aur main

ab to is jang ka faisla ho koi
lad rahe hain azal se hawa aur main

rang khushboo shafaq chaandni shaayeri
likh raha tha main us ne kaha aur main

us ki baat aur hai warna ai iftikhaar
us ko ma'aloom hai iltijaa aur main

इक ख़ला, एक ला-इंतिहा और मैं
कितने तन्हा हैं मेरा ख़ुदा और मैं

कितने नज़दीक और किस क़दर अजनबी!!
मुझ में मुझ सा कोई दूसरा और मैं

लोग भी सो गए, रोग भी सो गए
जागते हैं मिरा रत-जगा और मैं

रात और रात में गूँजती एक बात
एक ख़ौफ़, इक मुंडेर, इक दिया और मैं

शहर ताराज है, जब्र का राज है
फिर भी साबित हैं मेरी अना और मैं

तेरे मौसम, तिरी गुफ़्तुगू और तू
मेरी आँखों में इक अन-कहा, और मैं

अब तो इस जंग का फ़ैसला हो कोई
लड़ रहे हैं अज़ल से हवा और मैं

रंग, ख़ुशबू, शफ़क़, चाँदनी, शाएरी
लिख रहा था मैं, उस ने कहा ''और मैं!''

उस की बात और है, वर्ना ऐ 'इफ़्तिख़ार'
उस को मा'लूम है, इल्तिजा और मैं

  - Iftikhar Mughal

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Mughal

As you were reading Shayari by Iftikhar Mughal

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Mughal

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari