rukhsat-e-yaar ka mazmoon b-mushkil baandha
dil na bandhta tha kisi taur bada dil baandha
ham ne bhi baandh liya zeest ka asbaab wahin
jab suna yaar-e-safar-daar ne mahmil baandha
ham ne us chehre ko baandha nahin mahtaab-misaal
ham ne mahtaab ko us rukh ke mumaasil baandha
aur kya baandhte saamaan mein b-hangaam-e-safar
sirf daaman mein khas-e-koocha-e-qatil baandha
ham jo har gaam se paimaan-e-wafa baandhte the
aakhirsh ham ne bhi azm-e-sar-e-manjil baandha
रुख़्सत-ए-यार का मज़मून ब-मुश्किल बाँधा
दिल न बंधता था किसी तौर बड़ा दिल बाँधा
हम ने भी बाँध लिया ज़ीस्त का अस्बाब वहीं
जब सुना यार-ए-सफ़र-दार ने महमिल बाँधा
हम ने उस चेहरे को बाँधा नहीं महताब-मिसाल
हम ने महताब को उस रुख़ के मुमासिल बाँधा
और क्या बाँधते सामाँ में ब-हंगाम-ए-सफ़र
सिर्फ़ दामन में ख़स-ए-कूचा-ए-क़ातिल बाँधा
हम जो हर गाम से पैमान-ए-वफ़ा बाँधते थे
आख़िरश हम ने भी अज़्म-ए-सर-ए-मंज़िल बाँधा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Mughal
our suggestion based on Iftikhar Mughal
As you were reading Chehra Shayari Shayari