khird ko khaana-e-dil ka nigah-baan kar diya ham ne
ye ghar aabaad hota is ko veeraan kar diya ham ne
chupoge kya digar rang-e-shabistaan kar diya ham ne
ki apne ghar ko phoonka aur charaaghaan kar diya ham ne
ghute jaate the tum meena-e-qalb-e-ahl-e-khalvat mein
tumhein jaam-e-kaf-e-sehra-nashinaan kar diya ham ne
anees-e-khwajgaan tum the jalees-e-khwajgaan tum the
magar tum ko naseeb kam-naseebaan kar diya ham ne
hareem-e-naaz se tum ko chura laane ke mujrim hain
ye sehra tha ise bhi koo-e-jaanaan kar diya ham ne
nazar waalo zara chaak-e-garebaan dekhte jaao
ise chaak-e-naqaab-e-roo-e-jaanaan kar diya ham ne
zameen khaakistar-e-yak shola-o-yam aab-e-yak-giryaa
yahi vo aab-o-gil hai jis ko insaan kar diya ham ne
jafaa se fitrat-e-aasoodagaan taameer ki tum ne
wafa ko qismat-e-aashufta-haalaan kar diya ham ne
mata-e-husn mehsoosaat mein arzaan hi rah jaati
giran us ko b-yak takhayyul-e-yazdaan kar diya ham ne
khandar mein maah-e-kaamil ka sanwarna is ko kahte hain
tum utre dil mein jab dil ko biyaabaan kar diya ham ne
amaanat maangti thi ham se saamaan-e-nigah-daari
tumheen ko shehr-e-khaamoshi ka darbaan kar diya ham ne
ख़िरद को ख़ाना-ए-दिल का निगह-बाँ कर दिया हम ने
ये घर आबाद होता इस को वीराँ कर दिया हम ने
छुपोगे क्या दिगर रंग-ए-शबिस्ताँ कर दिया हम ने
कि अपने घर को फूँका और चराग़ाँ कर दिया हम ने
घुटे जाते थे तुम मीना-ए-क़ल्ब-ए-अहल-ए-ख़ल्वत में
तुम्हें जाम-ए-कफ़-ए-सहरा-नशीनाँ कर दिया हम ने
अनीस-ए-ख़्वाज्गाँ तुम थे जलीस-ए-ख़्वाज्गाँ तुम थे
मगर तुम को नसीब कम-नसीबाँ कर दिया हम ने
हरीम-ए-नाज़ से तुम को चुरा लाने के मुजरिम हैं
ये सहरा था इसे भी कू-ए-जानाँ कर दिया हम ने
नज़र वालो ज़रा चाक-ए-गरेबाँ देखते जाओ
इसे चाक-ए-नक़ाब-ए-रू-ए-जानाँ कर दिया हम ने
ज़मीं ख़ाकिस्तर-ए-यक शोला-ओ-यम आब-ए-यक-गिर्या
यही वो आब-ओ-गिल है जिस को इंसाँ कर दिया हम ने
जफ़ा से फ़ितरत-ए-आसूदगाँ तामीर की तुम ने
वफ़ा को क़िस्मत-ए-आशुफ़्ता-हालाँ कर दिया हम ने
मता-ए-हुस्न महसूसात में अर्ज़ां ही रह जाती
गिराँ उस को ब-यक तख़ईल-ए-यज़्दाँ कर दिया हम ने
खंडर में माह-ए-कामिल का सँवरना इस को कहते हैं
तुम उतरे दिल में जब दिल को बयाबाँ कर दिया हम ने
अमानत माँगती थी हम से सामान-ए-निगह-दारी
तुम्हीं को शहर-ए-ख़ामोशी का दरबाँ कर दिया हम ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ijtiba Rizvi
our suggestion based on Ijtiba Rizvi
As you were reading Qismat Shayari Shayari