sukhe hont jab pyaas ki zabaan mein baat karte hain
to ummeed ki shaakh par aati hai pehli patti
hota hai
pehli baar mohabbat sunne jaisa ehsaas
sukhe hue hont
muskuraahat mein baadal ki tarah phat jaate hain
tahs-nahs ho jaata hai lafzon ka shehar
nahin sunaai deti jism ki pukaar
apna sa koi
phail jaata hai aasmaan se zameen tak
choone ki khwaahish os ban jaati hai
milne ki khwaahish dhoop
ehsaas ke dariya mein bahta rehta hai insaan
sukhe honton ke saath bhi
zindagi ko tar karta hua
सूखे होंट जब प्यास की ज़बान में बात करते हैं
तो उम्मीद की शाख़ पर आती है पहली पत्ती
होता है
पहली बार मोहब्बत सुनने जैसा एहसास
सूखे हुए होंट
मुस्कुराहट में बादल की तरह फट जाते हैं
तहस-नहस हो जाता है लफ़्ज़ों का शहर
नहीं सुनाई देती जिस्म की पुकार
अपना सा कोई
फैल जाता है आसमान से ज़मीन तक
छूने की ख़्वाहिश ओस बन जाती है
मिलने की ख़्वाहिश धूप
एहसास के दरिया में बहता रहता है इंसान
सूखे होंटों के साथ भी
ज़िंदगी को तर करता हुआ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Irshaad Kamil
As you were reading Dhoop Shayari Shayari