hum ne kaatee hain tiri yaad mein raatein akshar | हम ने काटी हैं तिरी याद में रातें अक्सर - Jaan Nisar Akhtar

hum ne kaatee hain tiri yaad mein raatein akshar
dil se guzri hain sitaaron ki baraaten akshar

aur to kaun hai jo mujh ko tasalli deta
haath rakh deti hain dil par tiri baatein akshar

husn shaista-e-tahzeeb-e-alam hai shaayad
gham-zada lagti hain kyun chaandni raatein akshar

haal kehna hai kisi se to mukhaatab hai koi
kitni dilchasp hua karti hain baatein akshar

ishq rehzan na sahi ishq ke haathon phir bhi
hum ne lutti hui dekhi hain baraaten akshar

hum se ik baar bhi jeeta hai na jeetega koi
vo to hum jaan ke kha lete hain maaten akshar

un se poocho kabhi chehre bhi parhe hain tum ne
jo kitaabon ki kiya karte hain baatein akshar

hum ne un tund-hawaon mein jalaae hain charaagh
jin hawaon ne ult di hain bisaaten akshar

हम ने काटी हैं तिरी याद में रातें अक्सर
दिल से गुज़री हैं सितारों की बरातें अक्सर

और तो कौन है जो मुझ को तसल्ली देता
हाथ रख देती हैं दिल पर तिरी बातें अक्सर

हुस्न शाइस्ता-ए-तहज़ीब-ए-अलम है शायद
ग़म-ज़दा लगती हैं क्यूँ चाँदनी रातें अक्सर

हाल कहना है किसी से तो मुख़ातब है कोई
कितनी दिलचस्प हुआ करती हैं बातें अक्सर

इश्क़ रहज़न न सही इश्क़ के हाथों फिर भी
हम ने लुटती हुई देखी हैं बरातें अक्सर

हम से इक बार भी जीता है न जीतेगा कोई
वो तो हम जान के खा लेते हैं मातें अक्सर

उन से पूछो कभी चेहरे भी पढ़े हैं तुम ने
जो किताबों की किया करते हैं बातें अक्सर

हम ने उन तुंद-हवाओं में जलाए हैं चराग़
जिन हवाओं ने उलट दी हैं बिसातें अक्सर

- Jaan Nisar Akhtar
1 Like

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari