vo afsaane kiya hai chaand taaron ka safar jin mein
ye duniya ek dhundli gend aati hai nazar jin mein
vo jin mein mulk-e-barq-o-baad tak taskheer hota hai
jahaan ik shab mein sone ka mahal taameer hota hai
achhoote-saahilon ke vo sehar-aalood veeraane
tilismi-qasr mein gumnaam shehzaadi ke afsaane
vo afsaane jo raatein chaand ke barbat pe gaati hain
vo afsaane jo subhen rooh ke andar jagati hain
fazaa karti hai jin mauhoom afsaano ki taamirein
bhatkte abr mein jin ki miliin mubham si tasveerein
sar-e-saahil jo bahti sham'a ki lau gungunaati hai
dimaagh o dil mein jin se ik kiran si daud jaati hai
vo afsaane jo dil ko be-kahe mehsoos hote hain
jo honton ki haseen gulnaar mehraabo'n mein sote hain
kisi ki nargis-e-sharsaar ke mubham se afsaane
kisi ki zulf-e-amber-baar ke barham se afsaane
vo jin ko is tarah kuchh jumbish-e-mizgaan sunaati hai
ki jaise khwaab mein bhooli hui ik yaad aati hai
raha hoon gum inhi mauhoom afsaano ki basti mein
inhi dilkash magar gumnaam roomaanon ki basti mein
kisi ne tod daala ye tilism-e-kaif-o-khwaab aakhir
meri aankhon ke aage aaye shamsheer o shabaab aakhir
वो अफ़्साने किया है चाँद तारों का सफ़र जिन में
ये दुनिया एक धुँदली गेंद आती है नज़र जिन में
वो जिन में मुल्क-ए-बर्क़-ओ-बाद तक तस्ख़ीर होता है
जहाँ इक शब में सोने का महल तामीर होता है
अछूते-साहिलों के वो सहर-आलूद वीराने
तिलिस्मी-क़स्र में गुमनाम शहज़ादी के अफ़्साने
वो अफ़्साने जो रातें चाँद के बरबत पे गाती हैं
वो अफ़्साने जो सुब्हें रूह के अंदर जगाती हैं
फ़ज़ा करती है जिन मौहूम अफ़्सानों की तामीरें
भटकते अब्र में जिन की मिलीं मुबहम सी तस्वीरें
सर-ए-साहिल जो बहती शम्अ की लौ गुनगुनाती है
दिमाग़ ओ दिल में जिन से इक किरन सी दौड़ जाती है
वो अफ़्साने जो दिल को बे-कहे महसूस होते हैं
जो होंटों की हसीं गुलनार मेहराबों में सोते हैं
किसी की नर्गिस-ए-शरसार के मुबहम से अफ़्साने
किसी की ज़ुल्फ़-ए-अम्बर-बार के बरहम से अफ़्साने
वो जिन को इस तरह कुछ जुम्बिश-ए-मिज़्गाँ सुनाती है
कि जैसे ख़्वाब में भूली हुई इक याद आती है
रहा हूँ गुम इन्ही मौहूम अफ़्सानों की बस्ती में
इन्ही दिलकश मगर गुमनाम रूमानों की बस्ती में
किसी ने तोड़ डाला ये तिलिस्म-ए-कैफ़-ओ-ख़्वाब आख़िर
मिरी आँखों के आगे आए शमशीर ओ शबाब आख़िर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading I Miss you Shayari Shayari