jism ki har baat hai aawaargi ye mat kaho | जिस्म की हर बात है आवारगी ये मत कहो - Jaan Nisar Akhtar

jism ki har baat hai aawaargi ye mat kaho
hum bhi kar sakte hain aisi shayari ye mat kaho

us nazar ki us badan ki gungunaahat to suno
ek si hoti hai har ik raagini ye mat kaho

hum se deewaanon ke bin duniya sanwarti kis tarah
aql ke aage hai kya deewaangi ye mat kaho

kat saki hain aaj tak sone ki zanjeeren kahaan
hum bhi ab azaad hain yaaro abhi ye mat kaho

paanv itne tez hain uthte nazar aate nahin
aaj thak kar rah gaya hai aadmi ye mat kaho

jitne vaade kal the utne aaj bhi maujood hain
un ke vaadon mein hui hai kuch kami ye mat kaho

dil mein apne dard ki chhitki hui hai chaandni
har taraf phaili hui hai teergi ye mat kaho

जिस्म की हर बात है आवारगी ये मत कहो
हम भी कर सकते हैं ऐसी शायरी ये मत कहो

उस नज़र की उस बदन की गुनगुनाहट तो सुनो
एक सी होती है हर इक रागनी ये मत कहो

हम से दीवानों के बिन दुनिया सँवरती किस तरह
अक़्ल के आगे है क्या दीवानगी ये मत कहो

कट सकी हैं आज तक सोने की ज़ंजीरें कहाँ
हम भी अब आज़ाद हैं यारो अभी ये मत कहो

पाँव इतने तेज़ हैं उठते नज़र आते नहीं
आज थक कर रह गया है आदमी ये मत कहो

जितने वादे कल थे उतने आज भी मौजूद हैं
उन के वादों में हुई है कुछ कमी ये मत कहो

दिल में अपने दर्द की छिटकी हुई है चाँदनी
हर तरफ़ फैली हुई है तीरगी ये मत कहो

- Jaan Nisar Akhtar
1 Like

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari