mujhe koi aisi ghazal suna ki main ro padhoon | मुझे कोई ऐसी ग़ज़ल सुना कि मैं रो पड़ूँ

  - Jabbar Wasif

mujhe koi aisi ghazal suna ki main ro padhoon
zara jay jay vinti ke sur laga ki main ro padhoon

mere zabt tujh ko meri taraf se ye izn hai
mera aaj itna to dil dukha ki main ro padhoon

ye jo khaak odh ke so rahi hai meri hasi
yun bilak bilak ke use jaga ki main ro padhoon

mere khud-kushi ke khayal par mere haal par
meri bebaasi mujhe yun hansa ki main ro padhoon

tujhe ilm hai mera koi tere siva nahin
mujhe aa ke aise gale laga ki main ro padhoon

main jahaan-e-surkh mein sabz-posh charaagh hoon
meri lau ko itna na aazma ki main ro padhoon

mera bakht mera naseeb tujh se chhupa nahin
mujhe de tu aisi koi dua ki main ro padhoon

ye jo ishq ki siyah shaal hai ye vabaal hai
use yun na dekh ke muskuraa ki main ro padhoon

meri aankhen ab bhi tiri gali mein hain khema-zan
faqat ek baar unhen dekh ja ki main ro padhoon

mera naam tu ne rakha tha waasif'-e-na-tamaam
isee naam se mujhe phir bula ki main ro padhoon

मुझे कोई ऐसी ग़ज़ल सुना कि मैं रो पड़ूँ
ज़रा जय जय विन्ती के सुर लगा कि मैं रो पड़ूँ

मिरे ज़ब्त तुझ को मिरी तरफ़ से ये इज़्न है
मिरा आज इतना तो दिल दुखा कि मैं रो पड़ूँ

ये जो ख़ाक ओढ़ के सो रही है मिरी हँसी
यूँ बिलक बिलक के उसे जगा कि मैं रो पड़ूँ

मिरे ख़ुद-कुशी के ख़याल पर मिरे हाल पर
मिरी बेबसी मुझे यूँ हँसा कि मैं रो पड़ूँ

तुझे इल्म है मिरा कोई तेरे सिवा नहीं
मुझे आ के ऐसे गले लगा कि मैं रो पड़ूँ

मैं जहान-ए-सुर्ख़ में सब्ज़-पोश चराग़ हूँ
मिरी लौ को इतना न आज़मा कि मैं रो पड़ूँ

मिरा बख़्त मेरा नसीब तुझ से छुपा नहीं
मुझे दे तू ऐसी कोई दुआ कि मैं रो पड़ूँ

ये जो इश्क़ की सियह शाल है ये वबाल है
उसे यूँ न देख के मुस्कुरा कि मैं रो पड़ूँ

मिरी आँखें अब भी तिरी गली में हैं ख़ेमा-ज़न
फ़क़त एक बार उन्हें देख जा कि मैं रो पड़ूँ

मिरा नाम तू ने रखा था 'वासिफ़'-ए-ना-तमाम
इसी नाम से मुझे फिर बुला कि मैं रो पड़ूँ

  - Jabbar Wasif

Hug Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jabbar Wasif

As you were reading Shayari by Jabbar Wasif

Similar Writers

our suggestion based on Jabbar Wasif

Similar Moods

As you were reading Hug Shayari Shayari