main waqt ki aabjoo se aage nikal gaya hoon
so dehr ki haa-o-hoo se aage nikal gaya hoon
main be-shari'at tohaaraton ki talash mein tha
main baa-shari'at wuzoo se aage nikal gaya hoon
tu jaanta hai ki mera vijdaan vajd mein hai
tu jaanta hai main tu se aage nikal gaya hoon
main raqs karte hue tahajjud ki saa'aton mein
ibaadaton ke ghuloo se aage nikal gaya hoon
na-jaane kis kaayenaat mein paav rakh diye hain
main raat-din ki numoo se aage nikal gaya hoon
abas hain sab aalam-e-tahayyur meri nazar mein
main aalam-e-justujoo se aage nikal gaya hoon
main is jahaan-e-qaba-dareeda ka bakhiya-gar tha
magar main kaar-e-rafoo se aage nikal gaya hoon
mujhe nayi shakl ki zameen par hai baat karne
main baizvi guftugoo se aage nikal gaya hoon
meri ajal ki bhi maut ijaad ho gai hai
main saans lete lahu se aage nikal gaya hoon
mujhe nahin apne rakht-e-hasti ki fikr waasif
main hast ki aarzoo se aage nikal gaya hoon
मैं वक़्त की आबजू से आगे निकल गया हूँ
सो दहर की हा-ओ-हू से आगे निकल गया हूँ
मैं बे-शरीअ'त तहारतों की तलाश में था
मैं बा-शरीअ'त वुज़ू से आगे निकल गया हूँ
तू जानता है कि मेरा विज्दान वज्द में है
तू जानता है मैं तू से आगे निकल गया हूँ
मैं रक़्स करते हुए तहज्जुद की साअ'तों में
इबादतों के ग़ुलू से आगे निकल गया हूँ
न-जाने किस काएनात में पावँ रख दिए हैं
मैं रात-दिन की नुमू से आगे निकल गया हूँ
अबस हैं सब आलम-ए-तहय्युर मिरी नज़र में
मैं आलम-ए-जुस्तुजू से आगे निकल गया हूँ
मैं इस जहान-ए-क़बा-दरीदा का बख़िया-गर था
मगर मैं कार-ए-रफ़ू से आगे निकल गया हूँ
मुझे नई शक्ल की ज़मीं पर है बात करनी
मैं बैज़वी गुफ़्तुगू से आगे निकल गया हूँ
मिरी अजल की भी मौत ईजाद हो गई है
मैं साँस लेते लहू से आगे निकल गया हूँ
मुझे नहीं अपने रख़्त-ए-हस्ती की फ़िक्र 'वासिफ़'
मैं हस्त की आरज़ू से आगे निकल गया हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jabbar Wasif
our suggestion based on Jabbar Wasif
As you were reading Nigaah Shayari Shayari