dayaar-e-dard se aaya hua nahin lagta
main ahl-e-dil ko sataaya hua nahin lagta
mera vujood jahaan hai wahan shuhood nahin
main aa bhi jaaun to aaya hua nahin lagta
ye baat sach hai usi ne mujhe banaya hai
magar main kun se banaya hua nahin lagta
ye be-hijaab falak aur ye be-libaas zameen
mujhe to kuchh bhi chhupaaya hua nahin lagta
hai baarishon mein milaavat ki gard aankhon mein
koi bhi ped nahaaya hua nahin lagta
meri palet mein khilqat ki bhook naachti hai
isee liye mujhe khaaya hua nahin lagta
meri kamar pe lada hai anaaj bacchon ka
vo bojh hai ki uthaya hua nahin lagta
fasurda chehra shikasta qadam jhuki nazrein
gareeb baap kamaaya hua nahin lagta
dhari hai jis pe tasalli ki degchi waasif
mujhe vo choolha jalaya hua nahin lagta
दयार-ए-दर्द से आया हुआ नहीं लगता
मैं अहल-ए-दिल को सताया हुआ नहीं लगता
मिरा वजूद जहाँ है वहाँ शुहूद नहीं
मैं आ भी जाऊँ तो आया हुआ नहीं लगता
ये बात सच है उसी ने मुझे बनाया है
मगर मैं कुन से बनाया हुआ नहीं लगता
ये बे-हिजाब फ़लक और ये बे-लिबास ज़मीं
मुझे तो कुछ भी छुपाया हुआ नहीं लगता
है बारिशों में मिलावट कि गर्द आँखों में
कोई भी पेड़ नहाया हुआ नहीं लगता
मिरी पलेट में ख़िल्क़त की भूक नाचती है
इसी लिए मुझे खाया हुआ नहीं लगता
मिरी कमर पे लदा है अनाज बच्चों का
वो बोझ है कि उठाया हुआ नहीं लगता
फ़सुर्दा चेहरा शिकस्ता क़दम झुकी नज़रें
ग़रीब बाप कमाया हुआ नहीं लगता
धरी है जिस पे तसल्ली की देगची 'वासिफ़'
मुझे वो चूल्हा जलाया हुआ नहीं लगता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jabbar Wasif
our suggestion based on Jabbar Wasif
As you were reading Gareebi Shayari Shayari