jo nabaataat-o-jamaadaat pe shak karte hain
ai khuda tere kamaalaat pe shak karte hain
vo jo kahte hain dhamaake se jahaan khalk hua
dar-haqeeqat vo samaawaat pe shak karte hain
main bhi bachpan mein tafakkur pe yaqeen rakhta tha
mere bacche bhi rivaayat pe shak karte hain
main isee shehar mein aansu liye firta hoon jahaan
ped chidiyon ki munaajat pe shak karte hain
apne hisse mein vo be-faiz sadi hai jis mein
log valiyon ki karaamaat pe shak karte hain
is liye ham pe guzarti hai qayamat har din
ham qayamat ki alaamaat pe shak karte hain
aap ke khet mein ugati hai sunhari gandum
aap kyun us ki inaayat pe shak karte hain
jin ko moosa ka pata hai na khabar toor ki hai
aise bad-bakht bhi taurat pe shak karte hain
ishq ki ain ka to dasht mein madfan hi nahin
aashiqan yoonhi kharaabaat pe shak karte hain
aap jharnon ki tilaavat ko nahin sun sakte
aap fitrat ke ishaaraat pe shak karte hain
sirf sha'ir hi nahin hoon main musalmaan bhi hoon
aap kyun meri ibaadat pe shak karte hain
aap ko chahiye suqraat ke baare mein padhen
aap waasif ke khayaalaat pe shak karte hain
जो नबातात-ओ-जमादात पे शक करते हैं
ऐ ख़ुदा तेरे कमालात पे शक करते हैं
वो जो कहते हैं धमाके से जहाँ ख़ल्क़ हुआ
दर-हक़ीक़त वो समावात पे शक करते हैं
मैं भी बचपन में तफ़क्कुर पे यक़ीं रखता था
मेरे बच्चे भी रिवायात पे शक करते हैं
मैं इसी शहर में आँसू लिए फिरता हूँ जहाँ
पेड़ चिड़ियों की मुनाजात पे शक करते हैं
अपने हिस्से में वो बे-फ़ैज़ सदी है जिस में
लोग वलियों की करामात पे शक करते हैं
इस लिए हम पे गुज़रती है क़यामत हर दिन
हम क़यामत की अलामात पे शक करते हैं
आप के खेत में उगती है सुनहरी गंदुम
आप क्यों उस की इनायात पे शक करते हैं
जिन को मूसा का पता है न ख़बर तूर की है
ऐसे बद-बख़्त भी तौरात पे शक करते हैं
इश्क़ की ऐन का तो दश्त में मदफ़न ही नहीं
आशिक़ाँ यूँही ख़राबात पे शक करते हैं
आप झरनों की तिलावत को नहीं सुन सकते
आप फ़ितरत के इशारात पे शक करते हैं
सिर्फ़ शाइ'र ही नहीं हूँ मैं मुसलमान भी हूँ
आप क्यों मेरी इबादात पे शक करते हैं
आप को चाहिए सुक़रात के बारे में पढ़ें
आप 'वासिफ़' के ख़यालात पे शक करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jabbar Wasif
our suggestion based on Jabbar Wasif
As you were reading Akhbaar Shayari Shayari