ajeeb khwaab tha ham baagh mein khade hue the
hamaare saamne phoolon ke sar pade hue the
barhana titliyan raksaan theen uryaan shaakhon par
zameen mein saare shajar sharm se gadde hue the
tamaam paat the neele buzurg bargad ke
usi ko dasne se saanpon ke fan bade hue the
zaif ped the boodhi hawa se sharminda
jawaan parinde kisi baat par arde hue the
na koi naghma-e-bulbul na koi naghma-e-gul
khuda-e-subh se sab khush-guloo lade hue the
wahin pe saamne waasif tha ek qabristaan
jahaan yahan wahan sab naamvar sarde hue the
phir ek qabr hui shak to us mein the do dil
aur un dilon mein mohabbat ke nag jade hue the
अजीब ख़्वाब था हम बाग़ में खड़े हुए थे
हमारे सामने फूलों के सर पड़े हुए थे
बरहना तितलियाँ रक़्साँ थीं उर्यां शाख़ों पर
ज़मीं में सारे शजर शर्म से गड़े हुए थे
तमाम पात थे नीले बुज़ुर्ग बरगद के
उसी को डसने से साँपों के फन बड़े हुए थे
ज़ईफ़ पेड़ थे बूढ़ी हवा से शर्मिंदा
जवाँ परिंदे किसी बात पर अड़े हुए थे
न कोई नग़्मा-ए-बुलबुल न कोई नग़्मा-ए-गुल
ख़ुदा-ए-सुब्ह से सब ख़ुश-गुलू लड़े हुए थे
वहीं पे सामने 'वासिफ़' था एक क़ब्रिस्ताँ
जहाँ यहाँ वहाँ सब नामवर सड़े हुए थे
फिर एक क़ब्र हुई शक़ तो उस में थे दो दिल
और उन दिलों में मोहब्बत के नग जड़े हुए थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jabbar Wasif
our suggestion based on Jabbar Wasif
As you were reading Dil Shayari Shayari