tamaam shehar to be-mehr neend so raha tha
magar main aankhon mein nok-e-qalam chubho raha tha
main jaanta tha mere ashk marne waale hain
main jaanta tha ki jo mere saath ho raha tha
mujhe khabar nahin kab aansoon ko hosh aaya
khabar hui to main zaar-o-qataar ro raha tha
kuchh is liye bhi khuda ki mujhe zaroorat thi
main apne khet mein gandum ke beej bo raha tha
khayal aaya mujhe jab khuda badlne ka
main apne ashkon se harf-e-dua bhigo raha tha
mujhe jaga diya jab fajr ke mo'azzin ne
daroon-e-khwaab main masjid ka sahan dho raha tha
samajh raha tha jise main bhi nooh ki kashti
usi ka nakhuda logon ko ab dubo raha tha
tha baa-naseeb bhi aur bad-naseeb bhi waasif
jo pa raha tha kisi ko kisi ko kho raha tha
तमाम शहर तो बे-मेहर नींद सो रहा था
मगर मैं आँखों में नोक-ए-क़लम चुभो रहा था
मैं जानता था मिरे अश्क मरने वाले हैं
मैं जानता था कि जो मेरे साथ हो रहा था
मुझे ख़बर नहीं कब आँसूओं को होश आया
ख़बर हुई तो मैं ज़ार-ओ-क़तार रो रहा था
कुछ इस लिए भी ख़ुदा की मुझे ज़रूरत थी
मैं अपने खेत में गंदुम के बीज बो रहा था
ख़याल आया मुझे जब ख़ुदा बदलने का
मैं अपने अश्कों से हर्फ़-ए-दुआ भिगो रहा था
मुझे जगा दिया जब फज्र के मोअज़्ज़िन ने
दरून-ए-ख़्वाब मैं मस्जिद का सहन धो रहा था
समझ रहा था जिसे मैं भी नूह की कश्ती
उसी का नाख़ुदा लोगों को अब डुबो रहा था
था बा-नसीब भी और बद-नसीब भी 'वासिफ़'
जो पा रहा था किसी को किसी को खो रहा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jabbar Wasif
our suggestion based on Jabbar Wasif
As you were reading Anjam Shayari Shayari