jabr ne jab mujhe rusva sar-e-bazaar kiya | जब्र ने जब मुझे रुस्वा सर-ए-बाज़ार किया

  - Jabbar Wasif

jabr ne jab mujhe rusva sar-e-bazaar kiya
sabr ne mere mujhe saahib-e-dastaar kiya

meri lafzon ki imarat giri kaam aayi mere
meri ghazalon ne mere naam ko minaar kiya

apne haathon mein kudoorat ki kudaalein le kar
mere apnon ne meri zaat ko mismar kiya

yaad jab aaya koi wa'da-e-ta'meer mujhe
main ne tab jism ki har por ko me'maar kiya

aur phir sabz ishaara hua us paar se jab
main ne ik jast mein darya-e-bala paar kiya

aaj phir khaak bahut roee lipt kar mujh se
aaj phir qabr ne baba ki mujhe pyaar kiya

chaand ne raat mere saath mere dukh baante
subh suraj ne bhi giryaa sar-e-deewaar kiya

aag ashjaar ko lagne se kai din pehle
main ne ro ro ke parindon ko khabar-daar kiya

aisa maatam kabhi dariya ka na dekha na suna
jaane kis pyaas ne paani ko azaa-daar kiya

jab hawa dene lagi thande dilaase mujh ko
kuchh charaagon ne bhi afsos ka izhaar kiya

dekh kar jaltee hui jhonpdi kal shab waasif
main ne soye hue darvesh ko bedaar kiya

जब्र ने जब मुझे रुस्वा सर-ए-बाज़ार किया
सब्र ने मेरे मुझे साहब-ए-दस्तार किया

मेरी लफ़्ज़ों की इमारत गिरी काम आई मिरे
मेरी ग़ज़लों ने मिरे नाम को मीनार किया

अपने हाथों में कुदूरत की कुदालें ले कर
मेरे अपनों ने मिरी ज़ात को मिस्मार किया

याद जब आया कोई वा'दा-ए-ता'मीर मुझे
मैं ने तब जिस्म की हर पोर को मे'मार किया

और फिर सब्ज़ इशारा हुआ उस पार से जब
मैं ने इक जस्त में दरिया-ए-बला पार किया

आज फिर ख़ाक बहुत रोई लिपट कर मुझ से
आज फिर क़ब्र ने बाबा की मुझे प्यार किया

चाँद ने रात मिरे साथ मिरे दुख बाँटे
सुब्ह सूरज ने भी गिर्या सर-ए-दीवार किया

आग अश्जार को लगने से कई दिन पहले
मैं ने रो रो के परिंदों को ख़बर-दार किया

ऐसा मातम कभी दरिया का न देखा न सुना
जाने किस प्यास ने पानी को अज़ा-दार किया

जब हवा देने लगी ठंडे दिलासे मुझ को
कुछ चराग़ों ने भी अफ़्सोस का इज़हार किया

देख कर जलती हुई झोंपड़ी कल शब 'वासिफ़'
मैं ने सोए हुए दरवेश को बेदार किया

  - Jabbar Wasif

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jabbar Wasif

As you were reading Shayari by Jabbar Wasif

Similar Writers

our suggestion based on Jabbar Wasif

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari