wahi musaafir musaafirat ka mujhe qareena sikha raha tha | वही मुसाफ़िर मुसाफ़िरत का मुझे क़रीना सिखा रहा था

  - Jabbar Wasif

wahi musaafir musaafirat ka mujhe qareena sikha raha tha
jo apni chaagal se apne ghode ko aap paani pila raha tha

dukhon ke gaare mein haath lithṛe hue the mere hunar ke lekin
main rote rote bhi muskurata hua koi but bana raha tha

kuchh is liye bhi meri sada par har ik sama'at ko tha bharosa
gumaan ke sehra mein baith kar main yaqeen ke geet ga raha tha

suna hai kal raat mar gaya vo barhana darvesh jhonpdi mein
fana ke bistar pe jo baqa ki harees gudadi bichha raha tha

meri nazar mein vo tifl masjid ke peshwa se bhi mohtaram hai
jo ehtiraaman gali se gandum ke bikhre daane utha raha tha

bahut muqaddas the us sipaahi ki dono aankhon ke surkh dore
jo soi makhluq ki hifazat mein khwaab apne ganwa raha tha

tamaam shab us ke bhooke bacchon ne jaag kar hi guzaar di thi
khudi ke footpath par jo gurbat thapak thapak kar sula raha tha

vo meri barsi pe meri mayyat ke naam shaam-e-ghazal thi waasif
main apni turbat mein lete lete kalaam sab ko suna raha tha

वही मुसाफ़िर मुसाफ़िरत का मुझे क़रीना सिखा रहा था
जो अपनी छागल से अपने घोड़े को आप पानी पिला रहा था

दुखों के गारे में हाथ लिथड़े हुए थे मेरे हुनर के लेकिन
मैं रोते रोते भी मुस्कुराता हुआ कोई बुत बना रहा था

कुछ इस लिए भी मिरी सदा पर हर इक समाअ'त को था भरोसा
गुमाँ के सहरा में बैठ कर मैं यक़ीन के गीत गा रहा था

सुना है कल रात मर गया वो बरहना दरवेश झोंपड़ी में
फ़ना के बिस्तर पे जो बक़ा की हरीस गुदड़ी बिछा रहा था

मिरी नज़र में वो तिफ़्ल मस्जिद के पेशवा से भी मोहतरम है
जो एहतिरामन गली से गंदुम के बिखरे दाने उठा रहा था

बहुत मुक़द्दस थे उस सिपाही की दोनों आँखों के सुर्ख़ डोरे
जो सोई मख़्लूक़ की हिफ़ाज़त में ख़्वाब अपने गँवा रहा था

तमाम शब उस के भूके बच्चों ने जाग कर ही गुज़ार दी थी
ख़ुदी के फ़ुटपाथ पर जो ग़ुर्बत थपक थपक कर सुला रहा था

वो मेरी बरसी पे मेरी मय्यत के नाम शाम-ए-ग़ज़ल थी 'वासिफ़'
मैं अपनी तुर्बत में लेटे लेटे कलाम सब को सुना रहा था

  - Jabbar Wasif

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jabbar Wasif

As you were reading Shayari by Jabbar Wasif

Similar Writers

our suggestion based on Jabbar Wasif

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari