tareeq-e-kohna pe ab nazm-e-gulistaan na rahe
meri bahaar ko andesha-e-khizaan na rahe
ye aarzoo hai badal jaaye rasm-e-shehr-e-wafa
udaas husn na ho ishq sar-garaan na rahe
payaam-e-wasl se dil baagh baagh ho jaayen
labon pe shikwa-e-be-mehri-e-butaan na rahe
tuloo-e-mehr bade tuzk-o-ehtishaam se ho
ufuq siyaahi-e-shab se dhuaan dhuaan na rahe
samaa'aton pe musalsal ho nagmgi ka nuzool
nazar mein zisht-manaazir ka kaarwaan na rahe
masarraton ke farere jahaan mein leharaayen
gham-o-alam ke liye gosha-e-amaan na rahe
b-ru-e-adl sabhi apna apna hissa len
aur ehtimaal-e-ghalat bakhshi-e-mughaan na rahe
तरीक़-ए-कोहना पे अब नज़्म-ए-गुलिस्ताँ न रहे
मिरी बहार को अँदेशा-ए-ख़िज़ाँ न रहे
ये आरज़ू है बदल जाए रस्म-ए-शहर-ए-वफ़ा
उदास हुस्न न हो इश्क़ सर-गराँ न रहे
पयाम-ए-वस्ल से दिल बाग़ बाग़ हो जाएँ
लबों पे शिकवा-ए-बे-मेहरी-ए-बुताँ न रहे
तुलू-ए-मेहर बड़े तुज़्क-ओ-एहतिशाम से हो
उफ़ुक़ सियाही-ए-शब से धुआँ धुआँ न रहे
समाअ'तों पे मुसलसल हो नग़्मगी का नुज़ूल
नज़र में ज़िश्त-मनाज़िर का कारवाँ न रहे
मसर्रतों के फरेरे जहाँ में लहराएँ
ग़म-ओ-अलम के लिए गोशा-ए-अमाँ न रहे
ब-रु-ए-अद्ल सभी अपना अपना हिस्सा लें
और एहतिमाल-ए-ग़लत बख़्शी-ए-मुग़ाँ न रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Baluch
our suggestion based on Jafar Baluch
As you were reading Nazar Shayari Shayari