kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par | कितनी सज़ा मिली है मुझे अर्ज़-ए-हाल पर

  - Jafar Baluch

kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par
pahre lage hue hain meri bol-chaal par

kahte hain log joshish-e-fasl-e-bahaar hai
phoolon ka jab mizaaj na ho e'tidaal par

tu apni siskiyon ko daba apne ashk ponch
ai dost chhod de tu mujhe mere haal par

phir aaj ismato'n ki jabeen hai arq arq
tohmat lagi hai phir kisi mariyam-khisaal par

mehsoos baarha ye hua hai ki zindagi
ik barf ki dali hai kaf-e-barshgaal par

कितनी सज़ा मिली है मुझे अर्ज़-ए-हाल पर
पहरे लगे हुए हैं मिरी बोल-चाल पर

कहते हैं लोग जोशिश-ए-फ़स्ल-ए-बहार है
फूलों का जब मिज़ाज न हो ए'तिदाल पर

तू अपनी सिसकियों को दबा अपने अश्क पोंछ
ऐ दोस्त छोड़ दे तू मुझे मेरे हाल पर

फिर आज इस्मतों की जबीं है अरक़ अरक़
तोहमत लगी है फिर किसी मरियम-ख़िसाल पर

महसूस बारहा ये हुआ है कि ज़िंदगी
इक बर्फ़ की डली है कफ़-ए-बर्शगाल पर

  - Jafar Baluch

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Baluch

As you were reading Shayari by Jafar Baluch

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Baluch

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari