kushaad zehn-o-dil-o-gosh ki zaroorat hai | कुशाद ज़ेहन-ओ-दिल-ओ-गोश की ज़रूरत है

  - Jafar Baluch

kushaad zehn-o-dil-o-gosh ki zaroorat hai
ye zindagi hai yahan hosh ki zaroorat hai

sunaai degi yaqeenan zameer ki awaaz
makhaatbeen-e-subuk-gosh ki zaroorat hai

ab ehtiyaaj nahin sarv-qaamaton ki mujhe
mujhe to ab kisi ham-dosh ki zaroorat hai

kharosh-e-khum ka bharam kholna hai kya mushkil
bas ek rind-e-bala-nosh ki zaroorat hai

nigaar-e-subh ke aansu sametne ke liye
gulon ko wusa'at-e-aaghosh ki zaroorat hai

kahi faqat mutakallim sukoot ki haajat
kahi takallum-e-khaamosh ki zaroorat hai

कुशाद ज़ेहन-ओ-दिल-ओ-गोश की ज़रूरत है
ये ज़िंदगी है यहाँ होश की ज़रूरत है

सुनाई देगी यक़ीनन ज़मीर की आवाज़
मख़ातबीन-ए-सुबुक-गोश की ज़रूरत है

अब एहतियाज नहीं सर्व-क़ामतों की मुझे
मुझे तो अब किसी हम-दोश की ज़रूरत है

ख़रोश-ए-ख़ुम का भरम खोलना है क्या मुश्किल
बस एक रिंद-ए-बला-नोश की ज़रूरत है

निगार-ए-सुब्ह के आँसू समेटने के लिए
गुलों को वुसअ'त-ए-आग़ोश की ज़रूरत है

कहीं फ़क़त मुतकल्लिम सुकूत की हाजत
कहीं तकल्लुम-ए-ख़ामोश की ज़रूरत है

  - Jafar Baluch

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Baluch

As you were reading Shayari by Jafar Baluch

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Baluch

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari