agarche aah-e-sar-e-shaam bhi zaroori hai
dil-e-sitm-zada aaraam bhi zaroori hai
sitam-shiaar ki tafreeh-e-saame'aa ke liye
kharosh-e-murgh-e-teh-e-daam bhi zaroori hai
ziya-e-kirmak-e-shab-taab hi nahin kaafi
sitaara-e-sehr-anjaam bhi zaroori hai
giraa-baha hai mabaahis ki shabnam-aaginee
agarche burrish-e-samsaam bhi zaroori hai
badi hai baat to munh bhi bada muhayya kar
phir is ke saath bada naam bhi zaroori hai
sukoot gul ka agar na-guzeer hai jafar
to andaleeb ka kohraam bhi zaroori hai
अगरचे आह-ए-सर-ए-शाम भी ज़रूरी है
दिल-ए-सितम-ज़दा आराम भी ज़रूरी है
सितम-शिआ'र की तफ़रीह-ए-सामेआ' के लिए
ख़रोश-ए-मुर्ग़-ए-तह-ए-दाम भी ज़रूरी है
ज़िया-ए-किरमक-ए-शब-ताब ही नहीं काफ़ी
सितारा-ए-सहर-अंजाम भी ज़रूरी है
गिराँ-बहा है मबाहिस की शबनम-आगीनी
अगरचे बुर्रिश-ए-समसाम भी ज़रूरी है
बड़ी है बात तो मुँह भी बड़ा मुहय्या कर
फिर इस के साथ बड़ा नाम भी ज़रूरी है
सुकूत गुल का अगर ना-गुज़ीर है 'जाफ़र'
तो अंदलीब का कोहराम भी ज़रूरी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Baluch
our suggestion based on Jafar Baluch
As you were reading Rahbar Shayari Shayari