jaan-e-fikr-o-fan ab bhi ishq ki kahaani hai | जान-ए-फ़िक्र-ओ-फ़न अब भी इश्क़ की कहानी है

  - Jafar Baluch

jaan-e-fikr-o-fan ab bhi ishq ki kahaani hai
lafz hain naye lekin dastaan puraani hai

zindagi ke afsaane ek se sahi lekin
jo meri kahaani hai vo meri kahaani hai

dekhta hai rah rah kar munh nigaah waalon ka
misra-e-ghareeb apna naqsh-e-be-zubaani hai

iltifaat farmaayein ya taghaaful apnaayein
muddaa haseenon ka sirf jaan-sitaani hai

pur-khata sahi jafar be-wafa sahi jafar
khair tum sahi haq par baat kya badhaani hai

जान-ए-फ़िक्र-ओ-फ़न अब भी इश्क़ की कहानी है
लफ़्ज़ हैं नए लेकिन दास्ताँ पुरानी है

ज़िंदगी के अफ़्साने एक से सही लेकिन
जो मिरी कहानी है वो मिरी कहानी है

देखता है रह रह कर मुँह निगाह वालों का
मिस्रा-ए-ग़रीब अपना नक़्श-ए-बे-ज़बानी है

इल्तिफ़ात फ़रमाएँ या तग़ाफ़ुल अपनाएँ
मुद्दआ' हसीनों का सिर्फ़ जाँ-सितानी है

पुर-ख़ता सही 'जाफ़र' बे-वफ़ा सही 'जाफ़र'
ख़ैर तुम सही हक़ पर बात क्या बढ़ानी है

  - Jafar Baluch

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Baluch

As you were reading Shayari by Jafar Baluch

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Baluch

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari